ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha
ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
ai bujhe rañgoñ kī shaam ab tak dhuāñ aisā na thā
aaj ghar kī chhat se dekhā āsmāñ aisā na thā
kab se hai girte hue pattoñ kā manzar aañkh meñ
jaane kyā mausam hai ḳhvāboñ kā ziyāñ aisā na thā
koī shai lahrā hī jaatī thī fasīl-e-shab ke paar
duur ufuq meñ dekhnā kuchh rā.egāñ aisā na thā
peḌ the saa.e the pagDanDī thī ik jaatī huī
kyā ye sab kuchh ḳhvāb thā sach-much yahāñ aisā na thā
fāsla kam karne vaale rāste shāyad na the
ab to lagtā hai safar hī darmiyāñ aisā na thā
dil ki thā maa.il bahut vīrāñ jazīroñ kī taraf
ye havā aisī na thī ye bādbāñ aisā na thā
koī gosha ḳhvāb kā sā DhūñD hī lete the ham
shahr apnā shahr 'bānī' be-amāñ aisā na thā
ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha
aaj ghar ki chhat se dekha aasman aisa na tha
kab se hai girte hue patton ka manzar aankh mein
jaane kya mausam hai KHwabon ka ziyan aisa na tha
koi shai lahra hi jati thi fasil-e-shab ke par
dur ufuq mein dekhna kuchh raegan aisa na tha
peD the sae the pagDanDi thi ek jati hui
kya ye sab kuchh KHwab tha sach-much yahan aisa na tha
fasla kam karne wale raste shayad na the
ab to lagta hai safar hi darmiyan aisa na tha
dil ki tha mail bahut viran jaziron ki taraf
ye hawa aisi na thi ye baadban aisa na tha
koi gosha KHwab ka sa DhunD hi lete the hum
shahr apna shahr 'bani' be-aman aisa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.