ai dil-nashin talash teri ku-ba-ku na thi
ai dil-nashīñ talāsh tirī kū-ba-kū na thī
apne se ik farār thā vo justujū na thī
iz.hār nā-rasā sahī vo sūrat-e-jamāl
ā.īna-e-ḳhayāl meñ bhī hū-ba-hū na thī
kyā sehr thā ki hañste hue jaan de ga.e
vo bhī ki jin ko tāb-e-ġham-e-ārzū na thī
kyā jaane ahl-e-bazm ne kyā kyā samajh liyā
iḳhfā-e-ārzū thī vo chup guftugū na thī
vo kaun sī sahar thī ki roī na phuul phuul
vo shaam kaun sī thī ki ġham se lahū na thī
ham to farefta the 'ziyā' dil kī aañch par
manzūr mahz dilkashī-e-rañg-o-bū na thī
ai dil-nashin talash teri ku-ba-ku na thi
apne se ek farar tha wo justuju na thi
izhaar na-rasa sahi wo surat-e-jamal
aaina-e-KHayal mein bhi hu-ba-hu na thi
kya sehr tha ki hanste hue jaan de gae
wo bhi ki jin ko tab-e-gham-e-arzu na thi
kya jaane ahl-e-bazm ne kya kya samajh liya
iKHfa-e-arzu thi wo chup guftugu na thi
wo kaun si sahar thi ki roi na phul phul
wo sham kaun si thi ki gham se lahu na thi
hum to farefta the 'ziya' dil ki aanch par
manzur mahz dilkashi-e-rang-o-bu na thi
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.