han mante hain sach hi batata hai aaina
haañ mānte haiñ sach hī batātā hai aa.ina
phir bhī bahut se raaz chhupātā hai aa.ina
guzre qarīb se to haqīqat pata chalī
dāyāñ hamesha bāyāñ dikhātā hai aa.ina
jab raat ḳhud pe guzrī to ham ko yaqīñ huā
rote hue ko aur rulātā hai aa.ina
ġham zindagī ke hoñ yā mohabbat kā dard ho
har vaqt hañste rahnā sikhātā hai aa.ina
vaise ye ḳhaas baat to har aa.ine meñ hai
ro.o.ge tum to ashk bahātā hai aa.ina
han mante hain sach hi batata hai aaina
phir bhi bahut se raaz chhupata hai aaina
guzre qarib se to haqiqat pata chali
dayan hamesha bayan dikhata hai aaina
jab raat KHud pe guzri to hum ko yaqin hua
rote hue ko aur rulata hai aaina
gham zindagi ke hon ya mohabbat ka dard ho
har waqt hanste rahna sikhata hai aaina
waise ye KHas baat to har aaine mein hai
rooge tum to ashk bahata hai aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.