aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho

Khaleel Mamoon

aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho

Khaleel Mamoon

MORE BYKhaleel Mamoon

    aisā ho zindagī meñ koī ḳhvāb na ho

    añdhiyārī raat meñ koī mahtāb na ho

    sūkhe daraḳht tarah dariyā meñ gir paḌeñ

    marne ke vāste koī sailāb na ho

    puujā kareñ magar na duā ko uThā.eñ haath

    shahr-e-havas meñ ma.abad-e-arbāb na ho

    mar jaa.eñ is se pahle ki vo faisla kareñ

    hāthoñ meñ koī pyāla-e-zahrāb na ho

    'māmūn' jal ke ḳhaak meñ mil jaa.e chashm-e-tar

    aañsū bahāne chashma-e-sardāb na ho

    aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho

    andhiyari raat mein koi mahtab hi na ho

    sukhe daraKHt ki tarah dariya mein gir paDen

    marne ke waste koi sailab hi na ho

    puja karen magar na dua ko uThaen hath

    shahr-e-hawas mein mabad-e-arbab hi na ho

    mar jaen is se pahle ki wo faisla karen

    hathon mein koi pyala-e-zahrab hi na ho

    'mamun' jal ke KHak mein mil jae chashm-e-tar

    aansu bahane chashma-e-sardab hi na ho

    Source:

    Sanson Ke Paar (Pg. 212)

    • Author: Khalil Mamoon
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now