ajib tajraba tha bhiD se guzarne ka
ajiib tajraba thā bhiiḌ se guzarne kā
use bahāna milā mujh se baat karne kā
phir ek mauj-e-tah-e-āb us ko khīñch ga.ī
tamāsha ḳhatm huā Dūbne ubharne kā
mujhe ḳhabar hai ki rasta mazār chāhtā hai
maiñ ḳhasta-pā sahī lekin nahīñ Thaharne kā
thamā ke ek bikhartā gulāb mere haath
tamāsha dekh rahā hai vo mere Darne kā
ye āsmāñ meñ siyāhī bikher dī kis ne
hameñ thā shauq bahut us meñ rañg bharne kā
khaḌe hoñ dost ki dushman safeñ sab ek sī haiñ
vo jāntā hai idhar se nahīñ guzarne kā
nigāh ham-safaroñ par rakhūñ sar-e-manzil
ki marhala hai ye ik dūsre se Darne kā
lapak lapak ke vahīñ Dher ho ga.e āḳhir
jatan kiyā to bahut sat.h se ubharne kā
karāñ karāñ na sazā koī sair karne kī
safar safar na koī hādsa guzarne kā
kisī maqām se koī ḳhabar na aane kī
koī jahāz zamīñ par na ab utarne kā
koī sadā na samā.at pe naqsh hone kī
na koī aks mirī aañkh meñ Thaharne kā
na ab havā mare siine meñ sansanāne kī
na koī zahr mirī ruuh meñ utarne kā
koī bhī baat na mujh ko udaas karne kī
koī sulūk na mujh pe girāñ guzarne kā
bas ek chīḳh girī thī pahāḌ se yak-laḳht
ajab nazāra thā phir dhund ke bikharne kā
ajib tajraba tha bhiD se guzarne ka
use bahana mila mujh se baat karne ka
phir ek mauj-e-tah-e-ab us ko khinch gai
tamasha KHatm hua Dubne ubharne ka
mujhe KHabar hai ki rasta mazar chahta hai
main KHasta-pa sahi lekin nahin Thaharne ka
thama ke ek bikharta gulab mere hath
tamasha dekh raha hai wo mere Darne ka
ye aasman mein siyahi bikher di kis ne
hamein tha shauq bahut us mein rang bharne ka
khaDe hon dost ki dushman safen sab ek si hain
wo jaanta hai idhar se nahin guzarne ka
nigah ham-safaron par rakhun sar-e-manzil
ki marhala hai ye ek dusre se Darne ka
lapak lapak ke wahin Dher ho gae aaKHir
jatan kiya to bahut sath se ubharne ka
karan karan na saza koi sair karne ki
safar safar na koi hadsa guzarne ka
kisi maqam se koi KHabar na aane ki
koi jahaz zamin par na ab utarne ka
koi sada na samaat pe naqsh hone ki
na koi aks meri aankh mein Thaharne ka
na ab hawa mare sine mein sansanane ki
na koi zahr meri ruh mein utarne ka
koi bhi baat na mujh ko udas karne ki
koi suluk na mujh pe giran guzarne ka
bas ek chiKH giri thi pahaD se yak-laKHt
ajab nazara tha phir dhund ke bikharne ka
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.