Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya

Muneer Shikohabadi

aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya

Muneer Shikohabadi

MORE BYMuneer Shikohabadi

    aks-e-ruḳh-e-gulgūñ se tamāshā nazar aayā

    ā.īna unhīñ phūloñ duunā nazar aayā

    ḳhūbī meñ do-bālā vo sarāpā nazar aayā

    pur-nūr badan paikar-e-jauzā nazar aayā

    dil ḳhush guhroñ hameñ sahrā nazar aayā

    kyā gard-e-yatīmī bagūlā nazar aayā

    nairañgī-e-hairat se ravāñ rahte haiñ aañsū

    tasvīr dariyā hameñ bahtā nazar aayā

    niklā jo havā-vār meñ vo rashk-e-sulaimāñ

    uḌtā sū-e-aflāk farishta nazar aayā

    bālīda hai har shīsha-e-mai ab yahāñ tak

    ek ek falak pamba-e-mīnā nazar aayā

    ḳhil.at mujhe vahshat ne diyā vus.at-e-dil

    jaame meñ mire dāman-e-sahrā nazar aayā

    nazroñ meñ ye chhāyā hai ġhubār-e-dil-e-vahshī

    har aañkh meñ aañsū mujhe Dhelā nazar aayā

    vo ā.ina-sīmā hai dil-e-saḳht-adū meñ

    botal meñ utarte hue shīsha nazar aayā

    āshiq tire palkoñ huā zinda-e-jāved

    suulī ḳharīdār masīhā nazar aayā

    zāhid ne bhī aqd aaj kiyā bint-e-inab se

    juft-e-bat-e-mai murġh-e-musallā nazar aayā

    bargashta-nasībī-e-sadaf-e-dil kahūñ kyā

    motī ke evaz is meñ phaphūlā nazar aayā

    ā.īna-e-getī meñ vahī aks hai har

    ham ne jidhar us shoḳh ko dekhā nazar aayā

    karte ho mire paikar-e-vahmī ko nishāna

    nāvak meñ tumhāre par-e-anqā nazar aayā

    us but ke nahāne se huā saaf ye paanī

    motī bhī sadaf meñ tah-e-dariyā nazar aayā

    us huur rañgat uḌī rone se hamāre

    rañg-e-gul-e-firdaus bhī kachchā nazar aayā

    shīsha mai-e-gulgūñ unheñ madd-e-nazar hai

    teġh-e-nigah-e-mast meñ chhālā nazar aayā

    ho jā.eñge sab koh-e-jahāñ sañg-e-falāḳhan

    vahshat meñ jo aalam tah-o-bālā nazar aayā

    sham.eñ jo bujhīñ bazm-e-tilismāt ko dekhā

    āñkheñ jo huiiñ band to kyā kyā nazar aayā

    kyuuñ ḳhush na ho til baiTh ke mīzān-e-falak meñ

    mauzūn-e-qad-e-yār pallā nazar aayā

    mil mil ga.e haiñ ḳhaak meñ lākhoñ dil-e-raushan

    har zarra mujhe arsh taarā nazar aayā

    āñkhoñ meñ khaTaktī hai yahī daulat-e-duniyā

    har sikke machhlī meñ bhī kāñTā nazar aayā

    hai būd-e-jahāñ naqsh sar-e-āb nazar meñ

    ye khel hameñ ban ke bigaḌtā nazar aayā

    hairat-kada-e-dahr huā mujh se mukaddar

    ā.īna-e-ījād meñ dhabbā nazar aayā

    ḳhush aate nahīñ daañt kisī huur ke mujh ko

    chāk-e-gul-e-firdaus meñ baḳhiya nazar aayā

    muddat se nazar-doḳhta rahte haiñ giraftār

    gesū bhī zanjīr meñ Tāñkā nazar aayā

    champā-kalī us mast-e-mai-e-husn dekhī

    gardan surāhī ye miinā nazar aayā

    madfūn huā zer-e-zamīñ aap lāġhar

    chashm-e-lahad-e-tañg meñ jaalā nazar aayā

    kalkatta meñ har dam hai 'munīr' aap ko vahshat

    har koThī meñ har bañgle meñ jañglā nazar aayā

    aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya

    aaina unhin phulon ka duna nazar aaya

    KHubi mein do-baala wo sarapa nazar aaya

    pur-nur badan paikar-e-jauza nazar aaya

    dil KHush guhron ka hamein sahra nazar aaya

    kya gard-e-yatimi ka bagula nazar aaya

    nairangi-e-hairat se rawan rahte hain aansu

    taswir ka dariya hamein bahta nazar aaya

    nikla jo hawa-war mein wo rashk-e-sulaiman

    uDta su-e-aflak farishta nazar aaya

    baalida hai har shisha-e-mai ab ki yahan tak

    ek ek falak pamba-e-mina nazar aaya

    KHilat mujhe wahshat ne diya wusat-e-dil ka

    jame mein mere daman-e-sahra nazar aaya

    nazron mein ye chhaya hai ghubar-e-dil-e-wahshi

    har aankh mein aansu mujhe Dhela nazar aaya

    wo aaina-sima hai dil-e-saKHt-adu mein

    botal mein utarte hue shisha nazar aaya

    aashiq tere palkon ka hua zinda-e-jawed

    suli ka KHaridar masiha nazar aaya

    zahid ne bhi aqd aaj kiya bint-e-inab se

    juft-e-bat-e-mai murgh-e-musalla nazar aaya

    bargashta-nasibi-e-sadaf-e-dil ki kahun kya

    moti ke ewaz is mein phaphula nazar aaya

    aaina-e-geti mein wahi aks hai har su

    hum ne jidhar us shoKH ko dekha nazar aaya

    karte ho mere paikar-e-wahmi ko nishana

    nawak mein tumhaare par-e-anqa nazar aaya

    us but ke nahane se hua saf ye pani

    moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya

    us hur ki rangat uDi rone se hamare

    rang-e-gul-e-firdaus bhi kachcha nazar aaya

    shisha mai-e-gulgun ka unhen madd-e-nazar hai

    tegh-e-nigah-e-mast mein chhaala nazar aaya

    ho jaenge sab koh-e-jahan sang-e-falaKHan

    wahshat mein jo aalam tah-o-baala nazar aaya

    shamen jo bujhin bazm-e-tilismat ko dekha

    aankhen jo huin band to kya kya nazar aaya

    kyun KHush na ho til baiTh ke mizan-e-falak mein

    mauzun-e-qad-e-yar ka palla nazar aaya

    mil mil gae hain KHak mein lakhon dil-e-raushan

    har zarra mujhe arsh ka tara nazar aaya

    aankhon mein khaTakti hai yahi daulat-e-duniya

    har sikke ki machhli mein bhi kanTa nazar aaya

    hai bud-e-jahan naqsh sar-e-ab nazar mein

    ye khel hamein ban ke bigaDta nazar aaya

    hairat-kada-e-dahr hua mujh se mukaddar

    aaina-e-ijad mein dhabba nazar aaya

    KHush aate nahin dant kisi hur ke mujh ko

    chaak-e-gul-e-firdaus mein baKHiya nazar aaya

    muddat se nazar-doKHta rahte hain giraftar

    gesu ki bhi zanjir mein Tanka nazar aaya

    champa-kali us mast-e-mai-e-husn ki dekhi

    gardan ki surahi ka ye mina nazar aaya

    madfun hua zer-e-zamin aap ka laghar

    chashm-e-lahad-e-tang mein jala nazar aaya

    kalkatta mein har dam hai 'munir' aap ko wahshat

    har koThi mein har bangle mein jangla nazar aaya

    Source :
    • Muntakhabul-Alam
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now