Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

allah re ye rang ye jalwa shabab ka

Aish Meeruthi

allah re ye rang ye jalwa shabab ka

Aish Meeruthi

allāh re ye rang ye jalva shabāb

jaise khiñchā ho aañkh meñ naqsha sharāb

parde meñ kā.enāt ke maujūd har jagah

is par ye ehtimām ye aalam hijāb

lalchā ke fart-e-shauq meñ aañsū nikal paḌe

vaa.iz ne hañs ke naam liyā jab sharāb

tāb-e-nazāra-e-ruḳh-e-anvar nahīñ use

sūraj samt ruḳh hai gul-e-āftāb

baḌhtī rahī nigāh bahakte rahe qadam

guzrā hai is tarah bhī zamāna shabāb

har ashk vāqi.āt-e-hasīñ hai yādgār

aalam na pūchhiye mirī chashm-e-pur-āb

ai 'aish' jab se bāda-e-lā-taqnatū milā

baaqī rahā na Dar hameñ roz-e-hisāb

allah re ye rang ye jalwa shabab ka

jaise khincha ho aankh mein naqsha sharab ka

parde mein kaenat ke maujud har jagah

is par ye ehtimam ye aalam hijab ka

lalcha ke fart-e-shauq mein aansu nikal paDe

waiz ne hans ke nam liya jab sharab ka

tab-e-nazara-e-ruKH-e-anwar nahin use

suraj ki samt ruKH hai gul-e-aftab ka

baDhti rahi nigah bahakte rahe qadam

guzra hai is tarah bhi zamana shabab ka

har ashk waqiat-e-hasin ki hai yaadgar

aalam na puchhiye meri chashm-e-pur-ab ka

ai 'aish' jab se baada-e-la-taqnatu mila

baqi raha na Dar hamein roz-e-hisab ka

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now