zahir ki aankh se na tamasha kare koi
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
zāhir kī aañkh se na tamāshā kare koī
ho dekhnā to dīda-e-dil vā kare koī
mansūr ko huā lab-e-goyā payām-e-maut
ab kyā kisī ke 'ishq kā dā'vā kare koī
ho diid kā jo shauq to āñkhoñ ko band kar
hai dekhnā yahī ki na dekhā kare koī
maiñ intihā-e-'ishq huuñ tū intihā-e-husn
dekhe mujhe ki tujh ko tamāshā kare koī
'uzr-āfrīn-e-jurm-e-mohabbat hai husn-e-dost
mahshar meñ 'uzr-e-tāza na paidā kare koī
chhuptī nahīñ hai ye nigah-e-shauq ham-nashīñ
phir aur kis tarah unheñ dekhā kare koī
uḌ baiThe kyā samajh ke bhalā tuur par kalīm
tāqat ho diid kī to taqāzā kare koī
nazāre ko ye jumbish-e-mizhgāñ bhī baar hai
nargis kī aañkh se tujhe dekhā kare koī
khil jaa.eñ kyā maze haiñ tamannā-e-shauq meñ
do chaar din jo merī tamanna kare koī
zahir ki aankh se na tamasha kare koi
ho dekhna to dida-e-dil wa kare koi
mansur ko hua lab-e-goya payam-e-maut
ab kya kisi ke 'ishq ka da'wa kare koi
ho did ka jo shauq to aankhon ko band kar
hai dekhna yahi ki na dekha kare koi
main intiha-e-'ishq hun tu intiha-e-husn
dekhe mujhe ki tujh ko tamasha kare koi
'uzr-afrin-e-jurm-e-mohabbat hai husn-e-dost
mahshar mein 'uzr-e-taza na paida kare koi
chhupti nahin hai ye nigah-e-shauq ham-nashin
phir aur kis tarah unhen dekha kare koi
uD baiThe kya samajh ke bhala tur par kalim
taqat ho did ki to taqaza kare koi
nazare ko ye jumbish-e-mizhgan bhi bar hai
nargis ki aankh se tujhe dekha kare koi
khil jaen kya maze hain tamanna-e-shauq mein
do chaar din jo meri tamanna kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.