Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja

Azhar Inayati

apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja

Azhar Inayati

apne āñchal meñ chhupā kar mire aañsū le

yaad rakhne ko mulāqāt ke jugnū le

maiñ jise DhūñDne niklā thā use na sakā

ab jidhar tirā chāhe mujhe ḳhushbū le

aa zarā der ko aur mujh se mulāqāt ke ba.ad

sochne ke liye raushan koī pahlū le

hādse ūñchī uḌānoñ meñ bahut hote haiñ

tajraba tujh ko nahīñ hai mire baazū le

jo bhī ab haath milātā hai tujhe pūchhtā hai

aa mire hāthoñ se ye lams ḳhushbū le

log us shahr meñ kyā jaane hoñ kaise kaise

merā lahja mire iḳhlās jaadū le

apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja

yaad rakhne ko mulaqat ke jugnu le ja

main jise DhunDne nikla tha use pa na saka

ab jidhar ji tera chahe mujhe KHushbu le ja

aa zara der ko aur mujh se mulaqat ke baad

sochne ke liye raushan koi pahlu le ja

hadse unchi uDanon mein bahut hote hain

tajraba tujh ko nahin hai mere bazu le ja

jo bhi ab hath milata hai tujhe puchhta hai

aa mere hathon se ye lams ki KHushbu le ja

log us shahr mein kya jaane hon kaise kaise

mera lahja mere iKHlas ka jadu le ja

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

apne aanchal mein chhupa kar mere aansu le ja Fahad Husain

Source :
  • Book : jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 178)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now