apne pahle makan tak ho aaun
apne pahle makÄn tak ho aa.uuƱ
maiƱ zarÄ ÄsmÄn tak ho aa.uuƱ
koÄ« paikar pukÄrtÄ hai mujhe
sÄmne kÄ« chaTÄn tak ho aa.uuƱ
jhaįøtÄ jaatÄ hai jism roz-ba-roz
kÅ«za-gar kÄ« dukÄn tak ho aa.uuƱ
sehr-e-tashkÄ«k! ab rihÄ.Ä« de
maiƱ koÄ« dam gumÄn tak ho aa.uuƱ
vaqt ab dastaras meƱ hai 'aįø³htar'
ab to maiƱ jis jahÄn tak ho aa.uuƱ
apne pahle makan tak ho aaun
main zara aasman tak ho aaun
koi paikar pukarta hai mujhe
samne ki chaTan tak ho aaun
jhaDta jata hai jism roz-ba-roz
kuza-gar ki dukan tak ho aaun
sehr-e-tashkik! ab rihai de
main koi dam guman tak ho aaun
waqt ab dastaras mein hai 'aKHtar'
ab to main jis jahan tak ho aaun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 306)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.