Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai

Asad Ali Khan Qalaq

daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai

Asad Ali Khan Qalaq

daftar jo guloñ ke vo sanam khol rahā hai

aġhyār to kyā dil bhī idhar bol rahā hai

āsār-e-rihā.ī haiñ ye dil bol rahā hai

sayyād sitamgar mire par khol rahā hai

ġhairoñ se mire vāste jo bol rahā hai

āb-e-dard-e-nidā nahīñ vo sam ghol rahā hai

kis kis nahīñ tā.ir-e-dil daam meñ us ke

tuutī ḳhatt-e-āriz tire bol rahā hai

jaame se huā jaatā hai bāhar jo har ik gul

kyā baaġh meñ vo band-e-qabā khol rahā hai

shāhoñ tarah hai basar dasht-e-junūñ meñ

dīvānoñ ham-rāh mire ġhol rahā hai

kyā kyā nahīñ dukh qaid musībat ke sahe haiñ

barsoñ dil-e-nāshād mirī avval rahā hai

raqs aap jo dekh ke behāl huā thā

ghuñghrū usī pāmāl ab bol rahā hai

yaad aatī hai kis but mire ḳhāna-e-dil meñ

chhātī ke kivāḌ aaj koī khol rahā hai

karne ko hai said aaj kisī tā.ir-e-dil

shāhīñ nigah-e-yār par tol rahā hai

taskīñ ko ye kahte rahe furqat shab ahbāb

lo sub.h huī murġh-e-sahar bol rahā hai

bulbul hai fidā kartī nahīñ naqd-e-dil us par

gulzār meñ ġhuncha bhī girah khol rahā hai

dānā.ī se ḳhālī thā na dīvāna-pan us

duniyā meñ baḌī chain se bahlol rahā hai

maqtal meñ gire paḌte haiñ jāñbāz pe jāñbāz

talvār se ḳhaak khaḌā rol rahā hai

dil to diyā mīzāñ nahīñ paTtī nazar aatī

nazroñ meñ vo ḳhush-chashm mujhe taul rahā hai

sandūqcha argan hai ḳhāna-e-sayyād

har murġh-e-nafas haañk na.ī bol rahā hai

miTte nahīñ dekhī hai shikan ham ne jabīn

jab farsh par us ke kahīñ kuchh jhol rahā hai

mahrūm tumhīñ rah ga.e kahte haiñ ye sab log

jāñ-bāzoñ ko kas kar vo kamar khol rahā hai

kyā garm hai bāzār-e-ḳharīdārī-e-bulbul

gulzār meñ kāñTā zar-e-gul tol rahā hai

kam qadr kabhī dekhī nahīñ jins-e-mohabbat

saudā ye hamesha 'qalaq' anmol rahā hai

daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai

aghyar to kya dil bhi idhar bol raha hai

aasar-e-rihai hain ye dil bol raha hai

sayyaad sitamgar mere par khol raha hai

ghairon se mere waste jo bol raha hai

aab-e-dard-e-nida nahin wo sam ghol raha hai

kis kis ka nahin tair-e-dil dam mein us ke

tuti KHatt-e-ariz ka tere bol raha hai

jame se hua jata hai bahar jo har ek gul

kya bagh mein wo band-e-qaba khol raha hai

shahon ki tarah ki hai basar dasht-e-junun mein

diwanon ka ham-rah mere ghol raha hai

kya kya nahin dukh qaid musibat ke sahe hain

barson dil-e-nashad meri awwal raha hai

raqs aap ka jo dekh ke behaal hua tha

ghunghru usi pamal ka ab bol raha hai

yaad aati hai kis but ki mere KHana-e-dil mein

chhati ke kiwaD aaj koi khol raha hai

karne ko hai said aaj kisi tair-e-dil

shahin nigah-e-yar ka par tol raha hai

taskin ko ye kahte rahe furqat ki shab ahbab

lo subh hui murgh-e-sahar bol raha hai

bulbul hai fida karti nahin naqd-e-dil us par

gulzar mein ghuncha bhi girah khol raha hai

danai se KHali tha na diwana-pan us ka

duniya mein baDi chain se bahlol raha hai

maqtal mein gire paDte hain jaanbaz pe jaanbaz

talwar se KHak khaDa rol raha hai

dil to diya mizan nahin paTti nazar aati

nazron mein wo KHush-chashm mujhe taul raha hai

sanduqcha argan ka hai ya KHana-e-sayyaad

har murgh-e-nafas hank nai bol raha hai

miTte nahin dekhi hai shikan hum ne jabin ki

jab farsh par us ke kahin kuchh jhol raha hai

mahrum tumhin rah gae kahte hain ye sab log

jaan-bazon ko kas kar wo kamar khol raha hai

kya garm hai bazar-e-KHaridari-e-bulbul

gulzar mein kanTa zar-e-gul tol raha hai

kam qadr kabhi dekhi nahin jins-e-mohabbat

sauda ye hamesha 'qalaq' anmol raha hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai Nomaan Shauque

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now