asir-e-jism hun miad-e-qaid la-malum
asīr-e-jism huuñ mī'ād-e-qaid lā-mā'lūm
ye kis gunāh kī pādāsh hai ḳhudā mā'lūm
tirī galī bhī mujhe yuuñ to khīñchtī hai bahut
dar-asl hai mirī miTTī kahāñ kī kyā mā'lūm
kahāñ se lā.ūñ ilāhī vo dūrbīñ āñkheñ
ki ho ishāra-e-angusht-e-haq-numā mā'lūm
safar zarūr hai aur uzr kī majāl nahīñ
maza to ye hai na manzil na rāsta mā'lūm
sunī hikāyat-e-hastī to darmiyāñ se sunī
na ibtidā kī ḳhabar hai na intihā mā'lūm
talab kareñ bhī to kyā shai talab kareñ ai 'shād'
hamīñ ko aap nahīñ apnā mudda.ā mā'lūm
asir-e-jism hun mi'ad-e-qaid la-ma'lum
ye kis gunah ki padash hai KHuda ma'lum
teri gali bhi mujhe yun to khinchti hai bahut
dar-asl hai meri miTTi kahan ki kya ma'lum
kahan se laun ilahi wo durbin aankhen
ki ho ishaara-e-angusht-e-haq-numa ma'lum
safar zarur hai aur uzr ki majal nahin
maza to ye hai na manzil na rasta ma'lum
suni hikayat-e-hasti to darmiyan se suni
na ibtida ki KHabar hai na intiha ma'lum
talab karen bhi to kya shai talab karen ai 'shad'
hamin ko aap nahin apna muddaa ma'lum
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 106)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.