Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki

Jaleel Manikpuri

aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki

Jaleel Manikpuri

MORE BYJaleel Manikpuri

    aur un āñkhoñ ne mere dil hālat zaar

    ho nahīñ saktī davā bīmār se bīmār

    mohr un par zarūrat kyā hai ai pīr-e-muġhāñ

    ek ik ḳham par lagī hai aañkh har mai-ḳhvār

    ḳhair ho yā-rab kahīñ vo ḳhud na ban jaa.eñ raqīb

    aa.ine par aaj paḌtī haiñ nigāheñ pyaar

    ḳhuun kar ke dil hamārā phir ga.ī vo mast aañkh

    ek chullū meñ niyyat bhar ga.ī mai-ḳhvār

    diid ke tālib the muusā tuur ko thī kyā ḳhabar

    phūñk kar rakh degī bijlī jalva-e-dīdār

    jalva-e-mahbūb se ḳhālī na dekhā dil koī

    aa.ine haiñ saikḌoñ aur ek sūrat yaar

    ho subuk-raftār kitnī nasīm-e-sub.h-dam

    aañkh khul jaatī hai phir bhī nargis-e-bīmār

    duḳhtar-e-raz ne diye chhīñTe kuchh aise sāqiyā

    paanī paanī ho ga.ī tauba har ik mai-ḳhvār

    kuchh phale-phūle na ye nāzuk mazāmīñ ai 'jalīl'

    be-khile murjhā ga.iiñ kaliyāñ mire gulzār

    aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki

    ho nahin sakti dawa bimar se bimar ki

    mohr ki un par zarurat kya hai ai pir-e-mughan

    ek ek KHam par lagi hai aankh har mai-KHwar ki

    KHair ho ya-rab kahin wo KHud na ban jaen raqib

    aaine par aaj paDti hain nigahen pyar ki

    KHun kar ke dil hamara phir gai wo mast aankh

    ek hi chullu mein niyyat bhar gai mai-KHwar ki

    did ke talib the musa tur ko thi kya KHabar

    phunk kar rakh degi bijli jalwa-e-didar ki

    jalwa-e-mahbub se KHali na dekha dil koi

    aaine hain saikDon aur ek surat yar ki

    ho subuk-raftar kitni hi nasim-e-subh-dam

    aankh khul jati hai phir bhi nargis-e-bimar ki

    duKHtar-e-raz ne diye chhinTe kuchh aise saqiya

    pani pani ho gai tauba har ek mai-KHwar ki

    kuchh phale-phule na ye nazuk mazamin ai 'jalil'

    be-khile murjha gain kaliyan mere gulzar ki

    Source :
    • Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 124)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now