Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur wahshat hai irada mera

Idris Babar

aur wahshat hai irada mera

Idris Babar

aur vahshat hai irāda merā

haq hai sahrā pe ziyāda merā

to yahī kuchh hai vo duniyā ya.anī

ek matrūk irāda merā

raat ne dil taraf haath baḌhā.e

ye sitārā bhī hai aadhā merā

aabjū maiñ to chalā jaldī hai

ik samundar se hai va.ada merā

dhuul uḌtī hai to yaad aatā hai kuchh

miltā-jultā thā libāda merā

aur wahshat hai irada mera

haq hai sahra pe ziyaada mera

to yahi kuchh hai wo duniya yani

ek matruk irada mera

raat ne dil ki taraf hath baDhae

ye sitara bhi hai aadha mera

aabju main to chala jaldi hai

ek samundar se hai wada mera

dhul uDti hai to yaad aata hai kuchh

milta-julta tha libaada mera

Source :
  • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 623)
  • Author : Naseer Ahmed Nasir
  • Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
  • Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now