Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azizo tum na kuchh usko kaho hua so hua

Hasrat Azimabadi

azizo tum na kuchh usko kaho hua so hua

Hasrat Azimabadi

MORE BYHasrat Azimabadi

    azīzo tum na kuchh us ko kaho huā so huā

    nipaT tund hai zālim ḳhū huā so huā

    ḳhatā se us nahīñ naam ko ġhubār-e-malāl

    maiñ ro ro Daalā hai sab dil se dho huā so huā

    mirī ḳhatā jafā thī tirī ye kyā hai zikr

    huā jo chāhiye phir to na ho huā so huā

    hañse hai dil meñ ye nā-dardmand sab sun sun

    to dukh ko ishq ke ai dil na ro huā so huā

    sitamgaro jo tumheñ rahm ho kuchh taufīq

    sitam apne talāfī karo huā so huā

    kaun hai ki ho milne se ġhair kai maan.e

    dil us ko haath se apne na kho huā so huā

    na sarguzisht mirī pūchh mujh se kuchh ai baḳht

    apne ḳhvāb-e-farāġhat meñ so huā so huā

    mohabbat ek tarah nirī samājat hai

    maiñ chhoḌūñ huuñ tirī ab justujū huā so huā

    bayān-e-hāl se ruktā hai 'hasrat' ab yaaro

    na pūchho us se na kuchh tum kaho huā so huā

    azizo tum na kuchh us ko kaho hua so hua

    nipaT hi tund hai zalim ki KHu hua so hua

    KHata se us ki nahin nam ko ghubar-e-malal

    main ro ro Dala hai sab dil se dho hua so hua

    meri KHata ya jafa thi teri ye kya hai zikr

    hua jo chahiye phir to na ho hua so hua

    hanse hai dil mein ye na-dardmand sab sun sun

    to dukh ko ishq ke ai dil na ro hua so hua

    sitamgaro jo tumhein rahm ki ho kuchh taufiq

    sitam ki apne talafi karo hua so hua

    tu kaun hai ki ho milne se ghair kai mane

    dil us ko hath se apne na kho hua so hua

    na sarguzisht meri puchh mujh se kuchh ai baKHt

    tu apne KHwab-e-faraghat mein so hua so hua

    mohabbat ek tarah ki niri samajat hai

    main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua

    bayan-e-haal se rukta hai 'hasrat' ab yaro

    na puchho us se na kuchh tum kaho hua so hua

    Source :
    • Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now