baam par aata hai hamara chand
baam par aatā hai hamārā chāñd
āsmāñ se kare kinārā chāñd
aap hī kī talāsh meñ sāhab
gardisheñ kartā hai gavārā chāñd
ḳhaal aur ruḳh se kis ko duuñ nisbat
aise taare na aisā pyārā chāñd
aag bhaḌkī jo ātishīñ ruḳh kī
abhī uḌ jaa.e ho ke paarā chāñd
hone to do muqābla un se
ġhul kareñge malak ki haarā chāñd
charḳh se un ko tāktā hai 'saḳhī'
jā.egā ek roz maarā chāñd
baam par aata hai hamara chand
aasman se kare kinara chand
aap hi ki talash mein sahab
gardishen karta hai gawara chand
KHal aur ruKH se kis ko dun nisbat
aise tare na aisa pyara chand
aag bhaDki jo aatishin ruKH ki
abhi uD jae ho ke para chand
hone to do muqabla un se
ghul karenge malak ki haara chand
charKH se un ko takta hai 'saKHi'
jaega ek roz mara chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.