Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar

Akhtar Hoshiyarpuri

barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar

Akhtar Hoshiyarpuri

bārhā ThiThkā huuñ ḳhud bhī apnā saaya dekh kar

log bhī katrā.e kyā kyā mujh ko tanhā dekh kar

mujh ko is ġham nahīñ sailāb meñ ghar bah ga.e

muskurāyā huuñ maiñ be-mausam barkhā dekh kar

ret dīvār meñ shāmil hai ḳhūn-e-zīst bhī

ai havāo soch kar ai mauj-e-dariyā dekh kar

apne hāthoñ apnī āñkheñ band karnī paḌ ga.iiñ

nighat-e-gul ke jilau meñ gard-e-sahrā dekh kar

mere chehre par ḳharāsheñ haiñ lakīreñ haath

merī qismat paḌhne vaale merā chehrā dekh kar

barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar

log bhi katrae kya kya mujh ko tanha dekh kar

mujh ko is ka gham nahin sailab mein ghar bah gae

muskuraya hun main be-mausam ki barkha dekh kar

ret ki diwar mein shamil hai KHun-e-zist bhi

ai hawao soch kar ai mauj-e-dariya dekh kar

apne hathon apni aankhen band karni paD gain

nighat-e-gul ke jilau mein gard-e-sahra dekh kar

mere chehre par KHarashen hain lakiren hath ki

meri qismat paDhne wale mera chehra dekh kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now