Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain

Jameel Mazhari

badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain

Jameel Mazhari

badal jaate haiñ dil hālāt jab karvaT badalte haiñ

mohabbat ke tasavvur bhī na.e sāñchoñ meñ Dhalte haiñ

tabassum jab kisī ruuh meñ tahlīl hotā hai

to dil bāñsurī se nit na.e naġhme nikalte haiñ

mohabbat jin ke dil dhaḌkanoñ ko tez rakhtī hai

vo aksar vaqt raftār se aage bhī chalte haiñ

ujāle ke pujārī muzmahil kyuuñ haiñ añdhere se

ki ye taare nigalte haiñ to sūraj bhī ugalte haiñ

inhī hairat-zada āñkhoñ se dekhe haiñ vo aañsū bhī

jo aksar dhuup meñ mehnat peshānī se Dhalte haiñ

mohabbat to talab raah meñ ik aisī Thokar hai

ki jis se zindagī ret meñ zamzam ubalte haiñ

ġhubār-e-kārvāñ haiñ vo na pūchho iztirāb un

kabhī aage bhī chalte haiñ kabhī pīchhe bhī chalte haiñ

diloñ ke nāḳhudā uTh kar sañbhāleñ kashtiyāñ apnī

bahut se aise tūfāñ 'maz.harī' ke dil meñ palte haiñ

badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain

mohabbat ke tasawwur bhi nae sanchon mein Dhalte hain

tabassum jab kisi ka ruh mein tahlil hota hai

to dil ki bansuri se nit nae naghme nikalte hain

mohabbat jin ke dil ki dhaDkanon ko tez rakhti hai

wo aksar waqt ki raftar se aage bhi chalte hain

ujale ke pujari muzmahil kyun hain andhere se

ki ye tare nigalte hain to suraj bhi ugalte hain

inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi

jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain

mohabbat to talab ki rah mein ek aisi Thokar hai

ki jis se zindagi ki ret mein zamzam ubalte hain

ghubar-e-karwan hain wo na puchho iztirab un ka

kabhi aage bhi chalte hain kabhi pichhe bhi chalte hain

dilon ke naKHuda uTh kar sanbhaalen kashtiyan apni

bahut se aise tufan 'mazhari' ke dil mein palte hain

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now