Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan se rishta-e-jaan motabar na tha mera

Akbar Hyderabadi

badan se rishta-e-jaan motabar na tha mera

Akbar Hyderabadi

badan se rishta-e-jāñ mo'tabar na thā merā

maiñ jis meñ rahtā thā shāyad vo ghar na thā merā

qarīb se vo guzrā magar ḳhabar na huī

dil is tarah to kabhī be-ḳhabar na thā merā

maiñ misl-e-sabza-e-begāna jis chaman meñ rahā

vahāñ ke gul na the mere samar na thā merā

na raushnī na harārat de sakā mujh ko

parā.ī aag meñ koī sharar na thā merā

zamīñ ko rū-kash-e-aflāk kar diyā jis ne

hunar thā kis agar vo hunar na thā merā

kuchh aur thā mirī tashkīl o irtiqā sabab

madār sirf havāoñ pe gar na thā merā

jo dhuup de gayā mujh ko vo merā sūraj thā

jo chhāñv de na sakā vo shajar na thā merā

nahīñ ki mujh se mire dil ne bevafā.ī

lahū se rabt kuchh mo'tabar na thā merā

pahuñch ke jo sar-e-manzil bichhaḌ gayā mujh se

vo ham-safar thā magar ham-nazar na thā merā

ik aane vaale maiñ muntazir to thā 'akbar'

har aane vaalā magar muntazir na thā merā

badan se rishta-e-jaan mo'tabar na tha mera

main jis mein rahta tha shayad wo ghar na tha mera

qarib hi se wo guzra magar KHabar na hui

dil is tarah to kabhi be-KHabar na tha mera

main misl-e-sabza-e-begana jis chaman mein raha

wahan ke gul na the mere samar na tha mera

na raushni na hararat hi de saka mujh ko

parai aag mein koi sharar na tha mera

zamin ko ru-kash-e-aflak kar diya jis ne

hunar tha kis ka agar wo hunar na tha mera

kuchh aur tha meri tashkil o irtiqa ka sabab

madar sirf hawaon pe gar na tha mera

jo dhup de gaya mujh ko wo mera suraj tha

jo chhanw de na saka wo shajar na tha mera

nahin ki mujh se mere dil ne bewafai ki

lahu se rabt hi kuchh mo'tabar na tha mera

pahunch ke jo sar-e-manzil bichhaD gaya mujh se

wo ham-safar tha magar ham-nazar na tha mera

ek aane wale ka main muntazir to tha 'akbar'

har aane wala magar muntazir na tha mera

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now