Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki

Mohammad Abbas Safiir

baDi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki

Mohammad Abbas Safiir

baḌī ibrat manzil hai zamīñ gor-e-ġharībāñ

yahāñ apnī haqīqat par nazar paḌtī hai insāñ

yahī dhun thī kahīñ merā dil-e-gum-gashta mil jaa.e

isī vahshat meñ barsoñ ḳhaak chhānī kū-e-jānāñ

jahāñ nabzeñ rukīñ dil sard ho do hichkiyāñ aa.iiñ

samajh liije ki manzil aa ga.ī gor-e-ġharībāñ

na jā.egā mere dil se ḳhayāl-e-abrū-e-dil-bar

ki teġhoñ ke saa.e meñ to hai jannat musalmāñ

fanā-e-ishq ho kar zinda-e-jāved hotā hai

miTā kar dekhiye hastī nahīñ miTtī hai insāñ

yahāñ rone se ho maqsūd hāsil ġhair-mumkin hai

chalo ab sham.eñ bhī bujhne lagīñ gor-e-ġharībāñ

'safīr' ik ḳhvāb thī ye chand roza zindagī apnī

ajal se mil ga.ī ta.abīr is ḳhvāb-e-pareshāñ

baDi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki

yahan apni haqiqat par nazar paDti hai insan ki

yahi dhun thi kahin mera dil-e-gum-gashta mil jae

isi wahshat mein barson KHak chhani ku-e-jaanan ki

jahan nabzen rukin dil sard ho do hichkiyan aain

samajh lije ki manzil aa gai gor-e-ghariban ki

na jaega mere dil se KHayal-e-abru-e-dil-bar

ki teghon hi ke sae mein to hai jannat musalman ki

fana-e-ishq ho kar zinda-e-jawed hota hai

miTa kar dekhiye hasti nahin miTti hai insan ki

yahan rone se ho maqsud hasil ghair-mumkin hai

chalo ab shamen bhi bujhne lagin gor-e-ghariban ki

'safir' ek KHwab thi ye chand roza zindagi apni

ajal se mil gai tabir is KHwab-e-pareshan ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now