bahaar aa kar jo gulshan mein wo gaen
bahār aa kar jo gulshan meñ vo gaa.eñ
to ġhuncha har taraf chuTkī bajā.eñ
ye tum ko dekh kar gul phuul jaa.eñ
ki jaame meñ na phir phūle samā.eñ
mile rasta to sū-e-charḳh jaa.eñ
kahāñ tak is zamīñ par ḳhaak uḌā.eñ
misāl-e-sham.a us par lau lagā.eñ
sahar tak shaam se aañsū bahā.eñ
mire marne se ye andher kā sog
kaho missī maleñ surma lagā.eñ
chaman meñ us se ham-chashmī ye diida
tirī āñkheñ na nargis phuuT jaa.eñ
ḳhudā ke paas kyā jā.eñge zāhid
gunah-gāroñ se jab ye baar paa.eñ
taraddud phuul kā kis vāste hai
mirī turbat pe vo tevrī chaḌhā.eñ
mire lāshe ko kāñdhā de ke bole
chalo turbat meñ ab tum ko sulā.eñ
'saḳhī' rote hī rote dam nikal jaa.e
farāġhat ho kahīñ gañgā nahā.eñ
bahaar aa kar jo gulshan mein wo gaen
to ghuncha har taraf chuTki bajaen
ye tum ko dekh kar gul phul jaen
ki jame mein na phir phule samaen
mile rasta to su-e-charKH jaen
kahan tak is zamin par KHak uDaen
misal-e-shama us par lau lagaen
sahar tak sham se aansu bahaen
mere marne se ye andher ka sog
kaho missi malen surma lagaen
chaman mein us se ham-chashmi ye dida
teri aankhen na nargis phuT jaen
KHuda ke pas kya jaenge zahid
gunah-garon se jab ye bar paen
taraddud phul ka kis waste hai
meri turbat pe wo tewri chaDhaen
mere lashe ko kandha de ke bole
chalo turbat mein ab tum ko sulaen
'saKHi' rote hi rote dam nikal jae
faraghat ho kahin ganga nahaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.