bahut kuchh muntazir ek baat ka tha
bahut kuchh muntazir ik baat kā thā
ki lamha laakh imkānāt kā thā
bachā lī thī ziyā andar kī us ne
vahī ik āshnā ab raat kā thā
rafāqat kyā kahāñ ke mushtarak ḳhvāb
ki saarā silsila shub.hāt kā thā
bagūle us ke sar par chīḳhte the
magar vo aadmī chup zaat kā thā
hinā.ī haath kā manzar thā 'bānī'
ki tābinda varaq isbāt kā thā
bahut kuchh muntazir ek baat ka tha
ki lamha lakh imkanat ka tha
bacha li thi ziya andar ki us ne
wahi ek aashna ab raat ka tha
rafaqat kya kahan ke mushtarak KHwab
ki sara silsila shubhat ka tha
bagule us ke sar par chiKHte the
magar wo aadmi chup zat ka tha
hinai hath ka manzar tha 'bani'
ki tabinda waraq isbaat ka tha
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 178)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.