bahut suljhi hui baaton ko bhi uljhae rakhte hain
bahut suljhī huī bātoñ ko bhī uljhā.e rakhte haiñ
jo hai kaam aaj kā kal tak use laTkā.e rakhte haiñ
taġhāful sā ravā rakhte haiñ us ke sāmne kyā kyā
magar andar hī andar tab.a ko lalchā.e rakhte haiñ
hamārī justujū se dūr-tar hai manzil-e-ma.anī
usī ko kho.e rakhnā hai jise ham paa.e rakhte haiñ
hamārī aarzū apnī samajh meñ bhī nahīñ aatī
pajāma is tarah kā hai jise ulTā.e rakhte haiñ
havā.eñ bhuul kar bhī is taraf kā ruḳh nahīñ kartīñ
so ye shāḳh-e-tamāshā aap hī tharrā.e rakhte haiñ
isī kī raushnī hai aur isī meñ bhasm honā hai
ye shola shaam kā jo raat bhar bhaḌkā.e rakhte haiñ
ham itnī raushnī meñ dekh bhī sakte nahīñ us ko
so apne aap hī is chāñd ko gahnā.e rakhte haiñ
nasheb-e-shā.irī meñ hai hamārī zaat se raunaq
yahī patthar hai jis ko raat din luḌhkā.e rakhte haiñ
ye ghar jis kā hai us ne vāpas aanā hai 'zafar' is meñ
isī ḳhātir dar-o-dīvār ko mahkā.e rakhte haiñ
bahut suljhi hui baaton ko bhi uljhae rakhte hain
jo hai kaam aaj ka kal tak use laTkae rakhte hain
taghaful sa rawa rakhte hain us ke samne kya kya
magar andar hi andar taba ko lalchae rakhte hain
hamari justuju se dur-tar hai manzil-e-mani
usi ko khoe rakhna hai jise hum pae rakhte hain
hamari aarzu apni samajh mein bhi nahin aati
pajama is tarah ka hai jise ulTae rakhte hain
hawaen bhul kar bhi is taraf ka ruKH nahin kartin
so ye shaKH-e-tamasha aap hi tharrae rakhte hain
isi ki raushni hai aur isi mein bhasm hona hai
ye shola sham ka jo raat bhar bhaDkae rakhte hain
hum itni raushni mein dekh bhi sakte nahin us ko
so apne aap hi is chand ko gahnae rakhte hain
nasheb-e-shairi mein hai hamari zat se raunaq
yahi patthar hai jis ko raat din luDhkae rakhte hain
ye ghar jis ka hai us ne wapas aana hai 'zafar' is mein
isi KHatir dar-o-diwar ko mahkae rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.