Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain

Aziz Hamid Madni

baiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain

Aziz Hamid Madni

baiTho bojh utāreñ donoñ vaqt yahīñ milte haiñ

duur duur se aane vaale raste kahīñ kahīñ milte haiñ

vahm bhī ho jaatā hai dil ko lekin is meñ ta.ajjub kyā hai

aise dasht ki jin meñ sham.eñ aap aap jalīñ, milte haiñ

gahre surḳh gulāb andhā bulbul saañp ko kyā dekhegā

paas ugtī nāg-phanī thī saare phuul vahīñ milte haiñ

kaan meñ motī haath meñ kañgan phuul chamelī juuḌe meñ

kyā kyā rañg jamāne vaale āñkheñ jin se basīñ, milte haiñ

tere jism dhaar kaTār aañkh ke pardoñ meñ taḌpī thī

ḳhākistar āñkhoñ meñ kyā kyā un lamhoñ ke nagīñ milte haiñ

tum ko jhūTā Thahrā saktā kis meñ itnā jas hai lekin

aise log bahut hote haiñ va.ada kar ke nahīñ milte haiñ

kohna sarā.e raushniyoñ ne kah diyā dīvaT ke diyoñ se

aao aao Thahro Thahro mehmāñ roz nahīñ milte haiñ

sar saudā paañv gardish jo bhī sabab ho na milne

tum to sāhab kyā milte ho milte haiñ to hamīñ milte haiñ

baiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain

dur dur se aane wale raste kahin kahin milte hain

wahm bhi ho jata hai dil ko lekin is mein tajjub kya hai

aise dasht ki jin mein shamen aap hi aap jalin, milte hain

gahre surKH gulab ka andha bulbul sanp ko kya dekhega

pas hi ugti nag-phani thi sare phul wahin milte hain

kan mein moti hath mein kangan phul chameli ka juDe mein

kya kya rang jamane wale aankhen jin se basin, milte hain

tere jism ki dhaar kaTar si aankh ke pardon mein taDpi thi

KHakistar aankhon mein kya kya un lamhon ke nagin milte hain

tum ko jhuTa Thahra sakta kis mein itna jas hai lekin

aise log bahut hote hain wada kar ke nahin milte hain

kohna sarae ki raushniyon ne kah hi diya diwaT ke diyon se

aao aao Thahro Thahro mehman roz nahin milte hain

sar ka sauda panw ki gardish jo bhi sabab ho na milne ka

tum to sahab kya milte ho milte hain to hamin milte hain

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 466)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now