barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe
barsoñ ke rat-jagoñ kī thakan khā ga.ī mujhe
sūraj nikal rahā thā ki niiñd aa ga.ī mujhe
rakkhī na zindagī ne mirī muflisī kī sharm
chādar banā ke raah meñ phailā ga.ī mujhe
maiñ bik gayā thā baad meñ be-sarfa jaan kar
duniyā mirī dukān pe lauTā ga.ī mujhe
dariyā pe ek tanz samajhiye ki tishnagī
sāhil kī sard ret meñ dafnā ga.ī mujhe
ai zindagī tamām lahū rā.egāñ huā
kis dasht-e-be-savād meñ barsā ga.ī mujhe
kāġhaz kā chāñd rakh diyā duniyā ne haath meñ
pahle safar kī raat hī raas aa ga.ī mujhe
kyā chiiz thī kisī kī adā-e-supurdagī
bhīge badan kī aag meñ nahlā ga.ī mujhe
'qaisar' qalam kī aag kā ehsānmand huuñ
jab uñgliyāñ jalīñ to ġhazal aa ga.ī mujhe
barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe
suraj nikal raha tha ki nind aa gai mujhe
rakkhi na zindagi ne meri muflisi ki sharm
chadar bana ke rah mein phaila gai mujhe
main bik gaya tha baad mein be-sarfa jaan kar
duniya meri dukan pe lauTa gai mujhe
dariya pe ek tanz samajhiye ki tishnagi
sahil ki sard ret mein dafna gai mujhe
ai zindagi tamam lahu raegan hua
kis dasht-e-be-sawad mein barsa gai mujhe
kaghaz ka chand rakh diya duniya ne hath mein
pahle safar ki raat hi ras aa gai mujhe
kya chiz thi kisi ki ada-e-supurdagi
bhige badan ki aag mein nahla gai mujhe
'qaisar' qalam ki aag ka ehsanmand hun
jab ungliyan jalin to ghazal aa gai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.