bas gaya jab se yar aankhon mein
bas gayā jab se yaar āñkhoñ meñ
tab se phūlī bahār āñkhoñ meñ
nazar aane se rah gayā az-bas
chhā gayā intizār āñkhoñ meñ
chashm-e-bad-dūr ḳhuub lagtā hai
tūtiyā-e-nigār āñkhoñ meñ
chashm-e-mast us kī dekhī thī ik roz
us kā khīñchā ḳhumār āñkhoñ meñ
mujh ko manzūr hai 'hasan' jo mile
ḳhāk-e-pā-e-nigār āñkhoñ meñ
bas gaya jab se yar aankhon mein
tab se phuli bahaar aankhon mein
nazar aane se rah gaya az-bas
chha gaya intizar aankhon mein
chashm-e-bad-dur KHub lagta hai
tutiya-e-nigar aankhon mein
chashm-e-mast us ki dekhi thi ek roz
us ka khincha KHumar aankhon mein
mujh ko manzur hai 'hasan' jo mile
KHak-e-pa-e-nigar aankhon mein
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.