bas ek nazar mein dil-o-jaan figar karta hai
bas ik nazar meñ dil-o-jāñ figār kartā hai
vo shaḳhs kitne salīqe se vaar kartā hai
tumhārī chaal se to maat khā gayā vo bhī
vahī jo uḌte parinde shikār kartā hai
ye marhala bhī kisī imtihāñ se kam to nahīñ
vo shaḳhs mujh pe bahut e'tibār kartā hai
ye kis kā husn mahaktā hai mere sheroñ meñ
ye kaun hai jo inheñ ḳhush-gavār kartā hai
tumhāre ġham ko meñ dil se lagā ke rakhtā huuñ
yahī to hai jo mujhe bā-vaqār kartā hai
bas ek nazar mein dil-o-jaan figar karta hai
wo shaKHs kitne saliqe se war karta hai
tumhaari chaal se to mat kha gaya wo bhi
wahi jo uDte parinde shikar karta hai
ye marhala bhi kisi imtihan se kam to nahin
wo shaKHs mujh pe bahut e'tibar karta hai
ye kis ka husn mahakta hai mere sheron mein
ye kaun hai jo inhen KHush-gawar karta hai
tumhaare gham ko mein dil se laga ke rakhta hun
yahi to hai jo mujhe ba-waqar karta hai
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 457)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.