Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

Mah Laqa Chanda

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

Mah Laqa Chanda

MORE BYMah Laqa Chanda

    basant aa.ī hai mauj-e-rañg-e-gul hai josh-e-sahbā hai

    ḳhudā ke fazl se aish-o-tarab ab kamī kyā hai

    bayāñ maiñ kyā karūñ us ke shabistāñ ta'al-allah

    qazā-o-qadr jis ke jashn ab kār-farmā hai

    saḳhāvat meñ koī ham-sar na ho us zamānae meñ

    vahī kartā hai puurā jis ke dil meñ jo irāda hai

    ḳhizar umr ho us tasadduq se a.imma ke

    nizām-ud-daula āsaf-jāh jo sab masīhā hai

    bahī-ḳhvān-e-karam se hai sadā ummīd 'chandā' ko

    kisī bhī na ho muhtāj tum se ye tamannā hai

    basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

    KHuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

    bayan main kya karun us ke shabistan ka ta'al-allah

    qaza-o-qadr jis ke jashn ka ab kar-farma hai

    saKHawat mein koi ham-sar na ho us ka zamanae mein

    wahi karta hai pura jis ke dil mein jo irada hai

    KHizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke

    nizam-ud-daula aasaf-jah jo sab ka masiha hai

    bahi-KHwan-e-karam se hai sada ummid 'chanda' ko

    kisi ki bhi na ho muhtaj tum se ye tamanna hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now