Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka

Imdad Ali Bahr

bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    bashar roz-e-azal se shefta hai shān-o-shaukat

    anāsir ke muraqqe meñ bharā hai naqsh daulat

    azal ke din se ġham mushtāq thā jo merī ḳhilqat

    banāyā āñsuoñ se gūñdh kar putlā kudūrat

    muqaddar ne diyā hai haath meñ kaasa halākat

    gadā huuñ us parī-paikar jo TukḌā hai aafat

    rahe sīna-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat

    kabhī lohā na maanā yaar teġh-e-adāvat

    dikhāyā us ne ban-Than kar vo jalva apnī sūrat

    ki paanī phir gayā ā.īne par dariyā-e-hairat

    ḳhudā ābād rakkhe lucknow ke ḳhush-mizājoñ ko

    har ik ghar ḳhāna-e-shādī hai har kūcha hai ishrat

    shab-e-vaslat to jaate jaate andhā kar ga.ī mujh ko

    tum ab bahrā karo sāhab sunā kar naam ruḳhsat

    mare jis par na chaar aañsū bahā.e us ne murde par

    huā sābit ki paanī bah gayā chashm-e-muravvat

    jalā.e dost ThanDā kare dil jo razā us

    na dozaḳh se mujhe nafrat na maiñ mushtāq jannat

    na hogā farq nuqte milā kar dekh le koī

    mire āmāl-nāme se navishta merī qismat

    jo shāmil hai karam us to kyā ġham kisht-e-uqbā

    siyah-nāmī se apne kaam lūñgā abr-e-rahmat

    ḳhudā ne hai lazzat ġham-ḳhurī ḳhush-mazāqoñ ko

    lahū ghūñT piine meñ mazā miltā hai sharbat

    har ik tasvīr hai sānī-e-yūsuf apne aalam meñ

    zarā yāqūb dekhe to muraqqa.a us qudrat

    yad-e-baizā ke daste aage aage le chale muusā

    shab-e-me.arāj ko raushan huā haal us azmat

    ziyāda chāñd sūraj se tirā nuur āshkārā hai

    na dekheñ terā jalva ham qusūr apnī basārat

    vo aalam hai na ġham se ġham na shādī se mujhe shādī

    barābar mere mīzāñ meñ hai palla rañj-o-rāhat

    tumhārī fitna-e-qāmat ne aisā ro.ab bāñdhā hai

    qadam-bhar bhī qadam aa ke nahīñ baḌhtā qayāmat

    shahīdān-e-ḳhudā mujh ko bhī thoḌī se jagah denā

    na ho barbād merī ḳhaak sadqa apnī turbat

    shab-e-vasl-e-sanam ḳhātma bil-ḳhair ho yārab

    na āñkhoñ par kahīñ phir jaa.e chūnā sub.h-e-furqat

    halāvat zindagī hai mulāqāt-e-ahibbā meñ

    mazā murde ko tanhā.ī hai zinde ko sohbat

    mazā ishq-e-haqīqī meñ na kuchh ishq-e-majāzī meñ

    ḳhudā se ġham duī hai sanam se rañj furqat

    chhurī nā-qadrdānoñ ravāñ hai ahl-e-jauhar par

    kafan ko yaad karnā 'bahr' dhyān aa.e jo ḳhilqat

    bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka

    anasir ke muraqqe mein bhara hai naqsh daulat ka

    azal ke din se gham mushtaq tha jo meri KHilqat ka

    banaya aansuon se gundh kar putla kudurat ka

    muqaddar ne diya hai hath mein kasa halakat ka

    gada hun us pari-paikar ka jo TukDa hai aafat ka

    rahe sina-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat ka

    kabhi loha na mana yar ki tegh-e-adawat

    dikhaya us ne ban-Than kar wo jalwa apni surat ka

    ki pani phir gaya aaine par dariya-e-hairat ka

    KHuda aabaad rakkhe lucknow ke KHush-mizajon ko

    har ek ghar KHana-e-shadi hai har kucha hai ishrat ka

    shab-e-waslat to jate jate andha kar gai mujh ko

    tum ab bahra karo sahab suna kar nam ruKHsat ka

    mare jis par na chaar aansu bahae us ne murde par

    hua sabit ki pani bah gaya chashm-e-murawwat ka

    jalae dost ya ThanDa kare dil jo raza us ki

    na dozaKH se mujhe nafrat na main mushtaq jannat ka

    na hoga farq nuqte ka mila kar dekh le koi

    mere aamal-name se nawishta meri qismat ka

    jo shamil hai karam us ka to kya gham kisht-e-uqba ka

    siyah-nami se apne kaam lunga abr-e-rahmat ka

    KHuda ne di hai lazzat gham-KHuri ki KHush-mazaqon ko

    lahu ki ghunT pine mein maza milta hai sharbat ka

    har ek taswir hai sani-e-yusuf apne aalam mein

    zara yaqub dekhe to muraqqa us ki qudrat ka

    yad-e-baiza ke daste aage aage le chale musa

    shab-e-mearaj ko raushan hua haal us ki azmat ka

    ziyaada chand suraj se tera nur aashkara hai

    na dekhen tera jalwa hum qusur apni basarat ka

    wo aalam hai na gham se gham na shadi se mujhe shadi

    barabar mere mizan mein hai palla ranj-o-rahat ka

    tumhaari fitna-e-qamat ne aisa roab bandha hai

    qadam-bhar bhi qadam aa ke nahin baDhta qayamat ka

    shahidan-e-KHuda mujh ko bhi thoDi se jagah dena

    na ho barbaad meri KHak sadqa apni turbat ka

    shab-e-wasl-e-sanam ka KHatma bil-KHair ho yarab

    na aankhon par kahin phir jae chuna subh-e-furqat ka

    halawat zindagi ki hai mulaqat-e-ahibba mein

    maza murde ko tanhai ka hai zinde ko sohbat ka

    maza ishq-e-haqiqi mein na kuchh ishq-e-majazi mein

    KHuda se gham dui ka hai sanam se ranj furqat ka

    chhuri na-qadrdanon ki rawan hai ahl-e-jauhar par

    kafan ko yaad karna 'bahr' dhyan aae jo KHilqat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now