basti mein kuchh log nirale ab bhi hain
bastī meñ kuchh log nirāle ab bhī haiñ
dekho ḳhālī dāman vaale ab bhī haiñ
dekho vo bhī haiñ jo sab kah sakte the
dekho un ke muñh par taale ab bhī haiñ
dekho un āñkhoñ ko jinhoñ ne sab dekhā
dekho un par ḳhauf ke jaale ab bhī haiñ
dekho ab bhī jins-e-vafā nāyāb nahīñ
apnī jaan pe khelne vaale ab bhī haiñ
taare maañd hue par zarre raushan haiñ
miTTī meñ ābād ujāle ab bhī haiñ
basti mein kuchh log nirale ab bhi hain
dekho KHali daman wale ab bhi hain
dekho wo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par tale ab bhi hain
dekho un aankhon ko jinhon ne sab dekha
dekho un par KHauf ke jale ab bhi hain
dekho ab bhi jins-e-wafa nayab nahin
apni jaan pe khelne wale ab bhi hain
tare mand hue par zarre raushan hain
miTTi mein aabaad ujale ab bhi hain
- Book : Waraq (Pg. 152)
- Author : ZEHRA NIGAAH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.