Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bata ai abr musawat kyun nahin karta

Tahzeeb Hafi

bata ai abr musawat kyun nahin karta

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

  batā ai abr musāvāt kyuuñ nahīñ kartā

  hamāre gaañv meñ barsāt kyuuñ nahīñ kartā

  mahāz-e-ishq se kab kaun bach ke niklā hai

  bach gayā hai to ḳhairāt kyuuñ nahīñ kartā

  vo jis chhāñv meñ pachchīs saal guzre haiñ

  vo peḌ mujh se koī baat kyuuñ nahīñ kartā

  maiñ jis ke saath ka.ī din guzār aayā huuñ

  vo mere saath basar raat kyuuñ nahīñ kartā

  mujhe jaan se baḌh kar aziiz ho gayā hai

  to mere saath koī haath kyuuñ nahīñ kartā

  bata ai abr musawat kyun nahin karta

  hamare ganw mein barsat kyun nahin karta

  mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai

  tu bach gaya hai to KHairaat kyun nahin karta

  wo jis ki chhanw mein pachchis sal guzre hain

  wo peD mujh se koi baat kyun nahin karta

  main jis ke sath kai din guzar aaya hun

  wo mere sath basar raat kyun nahin karta

  mujhe tu jaan se baDh kar aziz ho gaya hai

  to mere sath koi hath kyun nahin karta

  Tagged Under

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now