Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bata teri ghiza kya hai

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

bata teri ghiza kya hai

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    agar dāvat ho khāne to is meñ sochnā kyā hai

    nahīñ gar ye ḳhudā den to is ke sivā kyā hai

    jo ghar meñ daal roTī roz khaa.e bilā-nāġha

    vahī jānegā biryānī matanjan meñ mazā kyā hai

    mirā ye mashvara maan le hogā bhalā terā

    kabhī ye bhuul kar mat dekh dastar pe rakhā kyā hai

    muqaddar meñ jo likhā hai tire khā le use DaT kar

    takalluf to sarāsar ik aziyyat ke sivā kyā hai

    samajh le naam terā likhā hai daane daane par

    kabhī mat soch me.ade ke liye achchhā burā kyā hai

    hifz-e-mā-taqaddum aur itmīnān ḳhātir

    pakaḌ kar mezbāñ ko pūchh le āḳhir pakā kyā hai

    kabhī ne paḌhā bhī hai mire kapḌe ke dastar par

    jalī harfoñ jo tahrīr hai us meñ likhā kyā hai

    shikam ko kar vasī.a itnā ki har pakvān se pahle

    tujhe ḳhud mezbāñ pūchhe batā terī ġhizā kyā hai

    mujhe khāne ke fauran baad phir bhuuk lagtī hai

    koī to ye batā.e 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh ko huā kyā hai

    agar dawat ho khane ki to is mein sochna kya hai

    nahin gar ye KHuda ki den to is ke siwa kya hai

    jo ghar mein dal roTi roz hi khae bila-nagha

    wahi jaanega biryani matanjan mein maza kya hai

    mera ye mashwara tu man le hoga bhala tera

    kabhi ye bhul kar mat dekh dastar pe rakha kya hai

    muqaddar mein jo likha hai tere kha le use DaT kar

    takalluf to sarasar ek aziyyat ke siwa kya hai

    samajh le nam tera hi likha hai dane dane par

    kabhi mat soch meade ke liye achchha bura kya hai

    tu hifz-e-ma-taqaddum aur itminan ki KHatir

    pakaD kar mezban ko puchh le aaKHir paka kya hai

    kabhi tu ne paDha bhi hai mere kapDe ke dastar par

    jali harfon ki jo tahrir hai us mein likha kya hai

    shikam ko kar wasia itna ki har pakwan se pahle

    tujhe KHud mezban puchhe bata teri ghiza kya hai

    mujhe khane ke fauran baad hi phir bhuk lagti hai

    koi to ye batae 'KHwah-maKHwah' mujh ko hua kya hai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now