Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bata teri ghiza kya hai

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

bata teri ghiza kya hai

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

agar dāvat ho khāne to is meñ sochnā kyā hai

nahīñ gar ye ḳhudā den to is ke sivā kyā hai

jo ghar meñ daal roTī roz khaa.e bilā-nāġha

vahī jānegā biryānī mutanjan meñ mazā kyā hai

mirā ye mashvara maan le hogā bhalā terā

kabhī ye bhuul kar mat dekh dastar pe rakhā kyā hai

muqaddar meñ jo likkhā hai tire khā le use DaT kar

takalluf to sarāsar ik aziyyat ke sivā kyā hai

samajh le naam terā likhā hai daane daane par

kabhī mat soch me.ade ke liye achchhā burā kyā hai

hifz-e-mā-taqaddum aur itmīnān ḳhātir

pakaḌ kar mezbāñ ko pūchh le āḳhir pakā kyā hai

kabhī ne paḌhā bhī hai mire kapḌe ke dastar par

jalī harfoñ jo tahrīr hai us meñ likhā kyā hai

shikam ko kar vasī.a itnā ki har pakvān se pahle

tujhe ḳhud mezbāñ pūchhe batā terī ġhizā kyā hai

mujhe khāne ke fauran baa'd phir bhuuk lagtī hai

koī to ye batā.e 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh ko huā kyā hai

agar dawat ho khane ki to is mein sochna kya hai

nahin gar ye KHuda ki den to is ke siwa kya hai

jo ghar mein dal roTi roz hi khae bila-nagha

wahi jaanega biryani mutanjan mein maza kya hai

mera ye mashwara tu man le hoga bhala tera

kabhi ye bhul kar mat dekh dastar pe rakha kya hai

muqaddar mein jo likkha hai tere kha le use DaT kar

takalluf to sarasar ek aziyyat ke siwa kya hai

samajh le nam tera hi likha hai dane dane par

kabhi mat soch meade ke liye achchha bura kya hai

tu hifz-e-ma-taqaddum aur itminan ki KHatir

pakaD kar mezban ko puchh le aaKHir paka kya hai

kabhi tu ne paDha bhi hai mere kapDe ke dastar par

jali harfon ki jo tahrir hai us mein likha kya hai

shikam ko kar wasia itna ki har pakwan se pahle

tujhe KHud mezban puchhe bata teri ghiza kya hai

mujhe khane ke fauran ba'd hi phir bhuk lagti hai

koi to ye batae 'KHwah-maKHwah' mujh ko hua kya hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now