Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bayaban dur tak maine sajaya tha

Ghulam Mohammad Qasir

bayaban dur tak maine sajaya tha

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    bayābāñ duur tak maiñ ne sajāyā thā

    magar vo shahr ke raste se aayā thā

    diye aarzū ko jab bujhāyā thā

    phir us ke baad aahaT thī na saaya thā

    use jab dekhne ke baad dekhā to

    vo ḳhud bhī dil dil meñ muskurāyā thā

    dil-o-dīvār the ik naam zad par

    kahīñ likhkhā kahīñ maiñ ne miTāyā thā

    hazāroñ is meñ rahne ke liye aa.e

    makāñ maiñ ne tasavvur meñ banāyā thā

    jahāñ ne mujh ko pahle ḳhabar kar

    kabūtar der se paiġhām laayā thā

    chale mallāh kashtī giit ummīdeñ

    ki jaise sab ko sāhil ne bulāyā thā

    bayaban dur tak main ne sajaya tha

    magar wo shahr ke raste se aaya tha

    diye ki aarzu ko jab bujhaya tha

    phir us ke baad aahaT thi na saya tha

    use jab dekhne ke baad dekha to

    wo KHud bhi dil hi dil mein muskuraya tha

    dil-o-diwar the ek nam ki zad par

    kahin likhkha kahin main ne miTaya tha

    hazaron is mein rahne ke liye aae

    makan main ne tasawwur mein banaya tha

    jahan ne mujh ko pahle hi KHabar kar di

    kabutar der se paigham laya tha

    chale mallah kashti git ummiden

    ki jaise sab ko sahil ne bulaya tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bayaban dur tak maine sajaya tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now