Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

Manzar Lakhnavi

be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

Manzar Lakhnavi

be-ḳhud aisā kiyā ḳhauf-e-shab-e-tanhā.ī ne

subah se sham.a jalā tire saudā.ī ne

hasb-e-manshā dil-e-pur-shauq bātoñ javāb

de diyā sharm meñ Duubī huī añgḌā.ī ne

aalam huā us samt ko uḌne lagī ḳhaak

jis taraf ġhaur se dekhā tire saudā.ī ne

qatl par mere bahā.e na kisī ne aañsū

daad qātil ko ik ek tamāshā.ī ne

pūchhne vaale bharī bazm meñ qātil ko na pūchh

naam terā agar le diyā saudā.ī ne

māñgtā huuñ dar-o-dīvār se bātoñ javāb

aisā dīvāna kiyā hai ġham-e-tanhā.ī ne

hijr rātoñ meñ 'manzar' mire kaam aa aa ke

le liyā mol charāġh-e-shab-e-tanhā.ī ne

be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

subah se shama jala di tere saudai ne

hasb-e-mansha dil-e-pur-shauq ki baaton ka jawab

de diya sharm mein Dubi hui angDai ne

hu ka aalam hua us samt ko uDne lagi KHak

jis taraf ghaur se dekha tere saudai ne

qatl par mere bahae na kisi ne aansu

dad qatil ko di ek ek tamashai ne

puchhne wale bhari bazm mein qatil ko na puchh

nam tera hi agar le diya saudai ne

mangta hun dar-o-diwar se baaton ka jawab

aisa diwana kiya hai gham-e-tanhai ne

hijr ki raaton mein 'manzar' mere kaam aa aa ke

le liya mol charagh-e-shab-e-tanhai ne

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now