be-KHudi mein munh se jo nikla suKHan sabit hua
be-ḳhudī meñ muñh se jo niklā suḳhan sābit huā
aql se behtar mirā dīvāna-pan sābit huā
morid-e-ilzām Thahrāyā gayā ham ko magar
vaj.h-e-rusvā.ī nizām-e-anjuman sābit huā
ġhair chehre ajnabī māhaul mub.ham se nuqūsh
maiñ jahāñ pahuñchā vahī merā vatan sābit huā
ek lamhe ko bahāroñ se hue the ham-kalām
ek muddat meñ hamārā pairahan sābit huā
kis qadar nāzuk thī vo ehsās kī manzil ki jab
dostoñ kā mashvara bhī dil-shikan sābit huā
be-KHudi mein munh se jo nikla suKHan sabit hua
aql se behtar mera diwana-pan sabit hua
morid-e-ilzam Thahraya gaya hum ko magar
wajh-e-ruswai nizam-e-anjuman sabit hua
ghair chehre ajnabi mahaul mubham se nuqush
main jahan pahuncha wahi mera watan sabit hua
ek lamhe ko bahaaron se hue the ham-kalam
ek muddat mein hamara pairahan sabit hua
kis qadar nazuk thi wo ehsas ki manzil ki jab
doston ka mashwara bhi dil-shikan sabit hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.