Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai

Jaun Eliya

haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

  hālat-e-hāl ke sabab hālat-e-hāl ga.ī

  shauq meñ kuchh nahīñ gayā shauq zindagī ga.ī

  terā firāq jān-e-jāñ aish thā kyā mire liye

  ya.anī tire firāq meñ ḳhuub sharāb ga.ī

  tere visāl ke liye apne kamāl ke liye

  hālat-e-dil ki thī ḳharāb aur ḳharāb ga.ī

  us umīd-e-nāz ham se ye maan thā ki aap

  umr guzār dījiye umr guzār ga.ī

  ek hādsa to hai aur vo ye ki aaj tak

  baat nahīñ kahī ga.ī baat nahīñ sunī ga.ī

  ba.ad bhī tere jān-e-jāñ dil meñ rahā ajab samāñ

  yaad rahī tirī yahāñ phir tirī yaad bhī ga.ī

  us ke badan ko numūd ham ne suḳhan meñ aur phir

  us ke badan ke vāste ek qabā bhī ga.ī

  mīnā-ba-mīnā mai-ba-mai jām-ba-jām jam-ba-jam

  nāf-piyāle tire yaad ajab sahī ga.ī

  kahnī hai mujh ko ek baat aap se ya.anī aap se

  aap ke shahr-e-vasl meñ lazzat-e-hijr bhī ga.ī

  sehn-e-ḳhayāl-e-yār meñ na basar shab-e-firāq

  jab se vo chāñdnā gayā jab se vo chāñdnī ga.ī

  haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai

  shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai

  tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye

  yani tere firaq mein KHub sharab pi gai

  tere visal ke liye apne kamal ke liye

  haalat-e-dil ki thi KHarab aur KHarab ki gai

  us ki umid-e-naz ka hum se ye man tha ki aap

  umr guzar dijiye umr guzar di gai

  ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak

  baat nahin kahi gai baat nahin suni gai

  baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab saman

  yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai

  us ke badan ko di numud hum ne suKHan mein aur phir

  us ke badan ke waste ek qaba bhi si gai

  mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam

  naf-piyale ki tere yaad ajab sahi gai

  kahni hai mujh ko ek baat aap se yani aap se

  aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai

  sehn-e-KHayal-e-yar mein ki na basar shab-e-firaq

  jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gai

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Jaun Eliya

  Jaun Eliya

  Jaun Eliya

  Jaun Eliya

  Source :
  • Book : goya (Pg. 31)

  Tagged Under

  This content features in following collection(s)

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now