Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

to kya ye aaKHiri KHwahish hai achchha bhul jaun

Jawad Sheikh

to kya ye aaKHiri KHwahish hai achchha bhul jaun

Jawad Sheikh

to kyā ye āḳhirī ḳhvāhish hai achchhā bhuul jā.ūñ

jahāñ bhī jo bhī hai tere 'alāva bhuul jā.ūñ

to kyā ye dūsrā 'ishq aslī 'ishq samjhūñ

to pahlā tajrabe zail meñ thā bhuul jā.ūñ

to kyā itnā āsāñ hai kisī ko bhuul jaanā

ki bas bātoñ bātoñ meñ bhulātā bhuul jā.ūñ

kabhī kahtā huuñ us ko yaad rakhnā Thiik hogā

magar phir sochtā huuñ fā.eda kyā bhuul jā.ūñ

to kyā ye dastaras ik roz hāsil hogī mujh ko

ki har pal dhyān meñ rakkhūñ use bhuul jā.ūñ

ye koī qatl thoḌī hai ki baat aa.ī ga.ī ho

maiñ aur apnā nazar-andāz honā bhuul jā.ūñ

haiñ itnī juz.iyāt is sānahe pūchhiye mat

maiñ kyā kyā yaad rakkhūñ aur kyā kyā bhuul jā.ūñ

koī kab tak kisī bevafā.ī yaad rakkhe

bahut mumkin hai maiñ bhī rafta-rafta bhuul jā.ūñ

to kyā ye kah ke ḳhud ko mutma.in kar loge javvād

ki vo hai bhī isī laa.iq lihāzā bhuul jā.ūñ

to kya ye aaKHiri KHwahish hai achchha bhul jaun

jahan bhi jo bhi hai tere 'alawa bhul jaun

to kya ye dusra hi 'ishq asli 'ishq samjhun

to pahla tajrabe ki zail mein tha bhul jaun

to kya itna hi aasan hai kisi ko bhul jaana

ki bas baaton hi baaton mein bhulata bhul jaun

kabhi kahta hun us ko yaad rakhna Thik hoga

magar phir sochta hun faeda kya bhul jaun

to kya ye dastaras ek roz hasil hogi mujh ko

ki har pal dhyan mein rakkhun use ya bhul jaun

ye koi qatl thoDi hai ki baat aai gai ho

main aur apna nazar-andaz hona bhul jaun

hain itni juziyat is sanahe ki puchhiye mat

main kya kya yaad rakkhun aur kya kya bhul jaun

koi kab tak kisi ki bewafai yaad rakkhe

bahut mumkin hai main bhi rafta-rafta bhul jaun

to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge jawwad

ki wo hai bhi isi laiq lihaza bhul jaun

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now