Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do

Zubair Rizvi

bichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do

Zubair Rizvi

bichhaḌte dāmanoñ meñ phuul kuchh pattiyāñ rakh do

ta.alluq girāñbārī meñ thoḌī narmiyāñ rakh do

bhaTak jaatī haiñ tum se duur chehroñ ke ta.āqub meñ

jo tum chāho mirī āñkhoñ pe apnī uñgliyāñ rakh do

baraste bādaloñ se ghar āñgan Duub to jaa.e

abhī kuchh der kāġhaz banī ye kashtiyāñ rakh do

dhuāñ cigarette botal nasha sab dushman-e-jāñ haiñ

koī kahtā hai apne haath se ye talḳhiyāñ rakh do

bahut achchhā hai yaaro mahfiloñ meñ TuuT kar milnā

koī baḌhtī huī duurī bhī apne darmiyāñ rakh do

nuqūsh-e-ḳhāl-o-ḳhad meñ dil-navāzī adā kam hai

hijāb-āmez āñkhoñ meñ bhī thoḌī shoḳhiyāñ rakh do

hamīñ par ḳhatm kyuuñ ho dāstān-e-ḳhāna-vīrānī

jo ghar sahrā nazar aa.e to us meñ bijliyāñ rakh do

bichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do

talluq ki giranbari mein thoDi narmiyan rakh do

bhaTak jati hain tum se dur chehron ke taaqub mein

jo tum chaho meri aankhon pe apni ungliyan rakh do

baraste baadalon se ghar ka aangan Dub to jae

abhi kuchh der kaghaz ki bani ye kashtiyan rakh do

dhuan cigarette ka botal ka nasha sab dushman-e-jaan hain

koi kahta hai apne hath se ye talKHiyan rakh do

bahut achchha hai yaro mahfilon mein TuT kar milna

koi baDhti hui duri bhi apne darmiyan rakh do

nuqush-e-KHal-o-KHad mein dil-nawazi ki ada kam hai

hijab-amez aankhon mein bhi thoDi shoKHiyan rakh do

hamin par KHatm kyun ho dastan-e-KHana-virani

jo ghar sahra nazar aae to us mein bijliyan rakh do

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now