Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

biwi aur patlun

begam se kahā ham ne jo fursat hai aap ko

patlūn meñ hamārī baTan ek Taañk do

ġhusse se bolīñ aap ḳhud Taañk leñ janāb

biivī jab mazāq uḌāte rahe haiñ aap

biivī baġhair aadmī hote nahīñ puure

maiñ na rahūñ to aap bhī rah jaa.eñ adhūre

yuuñ to baTan Tañknā chhoTā kaam hai

ye kaam bhī to lā.eq-e-sad-ehtirām hai

mardāngī shaan na itnī baghāriye

suuī meñ sirf dhāgā piro kar dikhā.e

patlūn meñ jo aap baTan ḳhud lagā.eñge

uñglī chubho ke suuī meñ ḳhuuñ meñ nahā.eñge

socho baTan baġhair jo patlūn pahante

patlūn phisaltī to kyā sab log na hañste

patlūn meñ tumhārī baTan kaun Tāñktī

duniyā meñ tum batāo jo aurat na hotī

ham ne kahā ki apnī baḌā.ī na hāñkiye

chhoTī hai ye baat na aage baḌhā.iye

patlūn meñ bas ek baTan Tāñkne thā

patlūn ko baTan meñ nahīñ Tāñkne thā

ġhusse ko thuuk diije merī baat māniye

khaa.ī meñ yuuñ bahas ḳhudārā na jhāñkiye

gar is bahas ḳhātma honā zarūr hai

jo baat sach hai aap ko sunñā zarūr hai

aurat agar na hotī to jannat meñ rahte

duniyā meñ aa ke is tarah dukh-dard na sahte

shādī byaah hameñ ḳhatra bhī na hotā

sirf ik baTan ko Tāñkne naḳhra bhī na hotā

biivī us bahan ho ho kisī saas

tum ho isī liye to pahante haiñ ham libās

mardoñ ko agar duniyā meñ aurat na hotī

patlūn pahanñe zarūrat na hotī

begam se kaha hum ne jo fursat hai aap ko

patlun mein hamari baTan ek Tank do

ghusse se bolin aap hi KHud Tank len janab

biwi ka jab mazaq uDate rahe hain aap

biwi baghair aadmi hote nahin pure

main na rahun to aap bhi rah jaen adhure

yun to baTan ka Tankna chhoTa sa kaam hai

ye kaam bhi to laeq-e-sad-ehtiram hai

mardangi ki shan na itni baghaariye

sui mein sirf dhaga piro kar dikhae

patlun mein jo aap baTan KHud lagaenge

ungli chubho ke sui mein KHun mein nahaenge

socho baTan baghair jo patlun pahante

patlun phisalti to kya sab log na hanste

patlun mein tumhaari baTan kaun Tankti

duniya mein tum batao jo aurat hi na hoti

hum ne kaha ki apni baDai na hankiye

chhoTi si hai ye baat na aage baDhaiye

patlun mein bas ek baTan Tankne ka tha

patlun ko baTan mein nahin Tankne ka tha

ghusse ko thuk dije meri baat maniye

khai mein yun bahas ki KHudara na jhankiye

gar is bahas ka KHatma hona zarur hai

jo baat sach hai aap ko sunna zarur hai

aurat agar na hoti to jannat hi mein rahte

duniya mein aa ke is tarah dukh-dard na sahte

shadi byah ka hamein KHatra bhi na hota

sirf ek baTan ko Tankne ka naKHra bhi na hota

biwi ya us ki bahan ho ya ho kisi ki sas

tum ho isi liye to pahante hain hum libas

mardon ko agar duniya mein aurat hi na hoti

patlun pahanne ki zarurat hi na hoti

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now