bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai
bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
bujhā ke mujh meñ mujhe be-karāñ banātā hai
vo ik ‘amal jo sharar ko dhuāñ banātā hai
na jaane kitnī aziyyat se ḳhud guzartā hai
ye zaḳhm tab kahīñ jā kar nishāñ banātā hai
maiñ vo shajar bhī kahāñ jo ulajh ke sūraj se
musāfiroñ ke liye sā.ebāñ banātā hai
tū āsmāñ se koī bādaloñ kī chhat le aa
barahna shāḳh pe kyā āshiyāñ banātā hai
'ajab nasīb sadaf kā ki us ke siine meñ
guhar na honā use rā.egāñ banātā hai
faqat maiñ rang hī bharne kā kaam kartā huuñ
ye naqsh to koī dard-e-nihāñ banātā hai
na soch 'shād' shikasta-paroñ ke baare meñ
yahī ḳhayāl-safar ko girāñ banātā hai
bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai
wo ek ‘amal jo sharar ko dhuan banata hai
na jaane kitni aziyyat se KHud guzarta hai
ye zaKHm tab kahin ja kar nishan banata hai
main wo shajar bhi kahan jo ulajh ke suraj se
musafiron ke liye saeban banata hai
tu aasman se koi baadalon ki chhat le aa
barahna shaKH pe kya aashiyan banata hai
'ajab nasib sadaf ka ki us ke sine mein
guhar na hona use raegan banata hai
faqat main rang hi bharne ka kaam karta hun
ye naqsh to koi dard-e-nihan banata hai
na soch 'shad' shikasta-paron ke bare mein
yahi KHayal-safar ko giran banata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.