bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi
bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi
Lala Madhav Ram Jauhar
MORE BYLala Madhav Ram Jauhar
bulbul to bahut haiñ gul-e-rānā nahīñ koī
bīmār hazāroñ haiñ masīhā nahīñ koī
kaam aa.e bure vaqt meñ aisā nahīñ koī
tum kyā ho zamāne meñ kisī kā nahīñ koī
ham ishq meñ haiñ fard to tum husn meñ yaktā
ham sā bhī nahīñ ek jo tum sā nahīñ koī
tum kyā karo qismat hī agar apnī burī ho
taqdīr ke likkhe ko miTātā nahīñ koī
bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi
bimar hazaron hain masiha nahin koi
kaam aae bure waqt mein aisa nahin koi
tum kya ho zamane mein kisi ka nahin koi
hum ishq mein hain fard to tum husn mein yakta
hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi
tum kya karo qismat hi agar apni buri ho
taqdir ke likkhe ko miTata nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.