chaak karte hain gareban is farawani se hum
chaak karte haiñ garebāñ is farāvānī se ham
roz ḳhil.at paate haiñ darbār-e-uryānī se ham
muntaḳhab karte haiñ maidān-e-shikast apne liye
ḳhaak par girte haiñ lekin auj-e-sultānī se ham
ham zamīn-e-qatl-gah par chalte haiñ siine ke bal
jāda-e-shamshīr sar karte haiñ peshānī se ham
haañ miyāñ duniyā kī cham-ḳham ḳhuub hai apnī jagah
ik zarā ghabrā ga.e haiñ dil kī vīrānī se ham
zof hai had se ziyāda lekin is ke bāvajūd
zindagī se haath uThā sakte haiñ āsānī se ham
dil se bāhar aaj tak ham ne qadam rakkhā nahīñ
dekhne meñ zāhirā lagte haiñ sailānī se ham
daulat-e-duniyā kahāñ rakkheñ jagah bhī ho kahīñ
bhar chuke haiñ apnā ghar be-sāz-o-sāmānī se ham
zarra zarra jagmagātī jalva-bārāni-e-dost
dekhte haiñ rauzan-e-dīvār hairānī se ham
aql vaalo ḳhair jaane do nahīñ samjhoge tum
jis jagah pahuñche haiñ rāh-e-chāk-dāmānī se ham
kārobār-e-zindagī se jī churāte haiñ sabhī
jaise durveshī se tum maslan jahāñbānī se ham
chaak karte hain gareban is farawani se hum
roz KHilat pate hain darbar-e-uryani se hum
muntaKHab karte hain maidan-e-shikast apne liye
KHak par girte hain lekin auj-e-sultani se hum
hum zamin-e-qatl-gah par chalte hain sine ke bal
jada-e-shamshir sar karte hain peshani se hum
han miyan duniya ki cham-KHam KHub hai apni jagah
ek zara ghabra gae hain dil ki virani se hum
zof hai had se ziyaada lekin is ke bawajud
zindagi se hath uTha sakte hain aasani se hum
dil se bahar aaj tak hum ne qadam rakkha nahin
dekhne mein zahira lagte hain sailani se hum
daulat-e-duniya kahan rakkhen jagah bhi ho kahin
bhar chuke hain apna ghar be-saz-o-samani se hum
zarra zarra jagmagati jalwa-barani-e-dost
dekhte hain rauzan-e-diwar hairani se hum
aql walo KHair jaane do nahin samjhoge tum
jis jagah pahunche hain rah-e-chaak-damani se hum
karobar-e-zindagi se ji churaate hain sabhi
jaise durweshi se tum maslan jahanbani se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.