chand dhire se muskuraya hai
chāñd dhīre se muskurāyā hai
chāñd ko kaun yaad aayā hai
ḳhvāb meñ bhī nazar nahīñ aayā
raat jis ne mujhe jagāyā hai
ham nahīñ aa.e to gilā kaisā
aap ne kab hameñ bulāyā hai
jo likhā hī nahīñ gayā mujh se
dil ne vo giit gungunāyā hai
tū ne mujh ko banā diyā insān
maiñ ne tujh ko ḳhudā banāyā hai
tum se mil kar maiñ us ko bhuul gayā
jis ne tum se mujhe milāyā hai
Thair kar dekh to zarā 'momin'
maiñ nahīñ huuñ ye terā saaya hai
chand dhire se muskuraya hai
chand ko kaun yaad aaya hai
KHwab mein bhi nazar nahin aaya
raat jis ne mujhe jagaya hai
hum nahin aae to gila kaisa
aap ne kab hamein bulaya hai
jo likha hi nahin gaya mujh se
dil ne wo git gungunaya hai
tu ne mujh ko bana diya insan
main ne tujh ko KHuda banaya hai
tum se mil kar main us ko bhul gaya
jis ne tum se mujhe milaya hai
Thair kar dekh to zara 'momin'
main nahin hun ye tera saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.