Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukhi Tahni tanha chiDiya phika chand

Javed Akhtar

sukhi Tahni tanha chiDiya phika chand

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    sūkhī Tahnī tanhā chiḌiyā phīkā chāñd

    āñkhoñ ke sahrā meñ ek namī chāñd

    us māthe ko chūme kitne din biite

    jis māthe ḳhātir thā ik Tiikā chāñd

    pahle lagtī thī kitnī begāna

    kitnā mub.ham hotā hai pahlī chāñd

    kam ho kaise in ḳhushiyoñ se terā ġham

    lahroñ meñ kab bahtā hai naddī chāñd

    aao ab ham is ke bhī TukḌe kar leñ

    Dhāka rāvalpinDī aur dillī chāñd

    sukhi Tahni tanha chiDiya phika chand

    aankhon ke sahra mein ek nami ka chand

    us mathe ko chume kitne din bite

    jis mathe ki KHatir tha ek Tika chand

    pahle tu lagti thi kitni begana

    kitna mubham hota hai pahli ka chand

    kam ho kaise in KHushiyon se tera gham

    lahron mein kab bahta hai naddi ka chand

    aao ab hum is ke bhi TukDe kar len

    Dhaka rawalpinDi aur dilli ka chand

    Source:

    Tarkash (Pg. 54)

    • Author: Javed Akhtar
      • Edition: 2008
      • Publisher: Star Publications Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2008

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now