chaarasazon ki aziyyat nahin dekhi jati
chārasāzoñ kī aziyyat nahīñ dekhī jaatī
tere bīmār kī hālat nahīñ dekhī jaatī
dene vaale kī mashiyyat pe hai sab kuchh mauqūf
māñgne vaale kī hājat nahīñ dekhī jaatī
din bahal jaatā hai lekin tire dīvānoñ kī
shaam hotī hai to vahshat nahīñ dekhī jaatī
tamkanat se tujhe ruḳhsat to kiyā hai lekin
ham se in āñkhoñ kī hasrat nahīñ dekhī jaatī
kaun utrā hai ye āfāq kī pahnā.ī meñ
ā.ina-ḳhāne kī hairat nahīñ dekhī jaatī
chaarasazon ki aziyyat nahin dekhi jati
tere bimar ki haalat nahin dekhi jati
dene wale ki mashiyyat pe hai sab kuchh mauquf
mangne wale ki hajat nahin dekhi jati
din bahal jata hai lekin tere diwanon ki
sham hoti hai to wahshat nahin dekhi jati
tamkanat se tujhe ruKHsat to kiya hai lekin
hum se in aankhon ki hasrat nahin dekhi jati
kaun utra hai ye aafaq ki pahnai mein
aaina-KHane ki hairat nahin dekhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.