Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup ke aalam mein wo taswir si surat uski

Shahzad Ahmad

chup ke aalam mein wo taswir si surat uski

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    chup ke 'ālam meñ vo tasvīr sūrat us

    boltī hai to badal jaatī hai rañgat us

    sīḌhiyāñ chaḌhte achānak vo milī thī mujh ko

    us āvāz meñ maujūd thī hairat us

    haath chhū luuñ to laraz jaatī hai patte tarah

    vahī nā-karda-gunāhī pe nadāmat us

    kisī Thahrī huī sā'at tarah mohr-ba-lab

    mujh se dekhī nahīñ jaatī ye aziyyat us

    aañkh rakhte ho to us aañkh tahrīr paḌho

    muñh se iqrār na karnā to hai 'ādat us

    ḳhud vo āġhosh-e-kushāda hai jazīre tarah

    phaile dariyāoñ mānind mohabbat us

    raushnī ruuh aatī hai magar chhan chhan kar

    sust-rau abr TukḌā hai tabī'at us

    hai abhī lams ehsās mire hoñToñ par

    sabt phailī huī huī bāhoñ pe harārat us

    vo agar bhī chukī hai to na āñkheñ kholo

    abhī mahsūs kiye jaao rifāqat us

    dil dhaḌaktā hai to vo aañkh bulātī hai mujhe

    saañs aatī hai to miltī hai bashārat us

    vo kabhī aañkh bhī jhapke to laraz jaatā huuñ

    mujh ko us se bhī ziyāda hai zarūrat us

    vo kahīñ jaan na le ret Tiila huuñ maiñ

    mere kāñdhoñ pe hai tā'mīr imārat us

    be-talab jiinā bhī 'shahzād' talab hai us

    zinda rahne tamannā bhī sharārat us

    chup ke 'alam mein wo taswir si surat us ki

    bolti hai to badal jati hai rangat us ki

    siDhiyan chaDhte achanak wo mili thi mujh ko

    us ki aawaz mein maujud thi hairat us ki

    hath chhu lun to laraz jati hai patte ki tarah

    wahi na-karda-gunahi pe nadamat us ki

    kisi Thahri hui sa'at ki tarah mohr-ba-lab

    mujh se dekhi nahin jati ye aziyyat us ki

    aankh rakhte ho to us aankh ki tahrir paDho

    munh se iqrar na karna to hai 'adat us ki

    KHud wo aaghosh-e-kushada hai jazire ki tarah

    phaile dariyaon ki manind mohabbat us ki

    raushni ruh ki aati hai magar chhan chhan kar

    sust-rau abr ka TukDa hai tabi'at us ki

    hai abhi lams ka ehsas mere honTon par

    sabt phaili hui hui bahon pe hararat us ki

    wo agar ja bhi chuki hai to na aankhen kholo

    abhi mahsus kiye jao rifaqat us ki

    dil dhaDakta hai to wo aankh bulati hai mujhe

    sans aati hai to milti hai bashaarat us ki

    wo kabhi aankh bhi jhapke to laraz jata hun

    mujh ko us se bhi ziyaada hai zarurat us ki

    wo kahin jaan na le ret ka Tila hun main

    mere kandhon pe hai ta'mir imarat us ki

    be-talab jina bhi 'shahzad' talab hai us ki

    zinda rahne ki tamanna bhi shararat us ki

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shahzad Ahmad

    Shahzad Ahmad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now