dahakte kuchh KHayal hain ajib ajib se
dahakte kuchh ḳhayāl haiñ 'ajīb 'ajīb se
ki zehn meñ savāl haiñ 'ajīb 'ajīb se
thā āftāb sub.h kuchh to shaam ko kuchh aur
'urūj aur zavāl haiñ 'ajīb 'ajīb se
har ek shāhrāh par dukānoñ meñ saje
tarah tarah ke maal haiñ 'ajīb 'ajīb se
vo paas ho ke duur hai to duur ho ke paas
firāq aur visāl haiñ 'ajīb 'ajīb se
nikalnā in se bach ke sahl is qadar nahīñ
qadam qadam pe jaal haiñ 'ajīb 'ajīb se
adab faqat adab hai? yā hai tarjumān-e-zīst?
mire yahī savāl haiñ adiib adiib se
dahakte kuchh KHayal hain 'ajib 'ajib se
ki zehn mein sawal hain 'ajib 'ajib se
tha aaftab subh kuchh to sham ko kuchh aur
'uruj aur zawal hain 'ajib 'ajib se
har ek shahrah par dukanon mein saje
tarah tarah ke mal hain 'ajib 'ajib se
wo pas ho ke dur hai to dur ho ke pas
firaq aur visal hain 'ajib 'ajib se
nikalna in se bach ke sahl is qadar nahin
qadam qadam pe jal hain 'ajib 'ajib se
adab faqat adab hai? ya hai tarjuman-e-zist?
mere yahi sawal hain adib adib se
- Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 51)
- Author : Akbar Hyderabadi
- Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.