aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga

Iqbal Sajid

dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    dahr ke andhe kueñ meñ kas ke āvāza lagā

    koī patthar pheñk kar paanī andāza lagā

    zehn meñ sochoñ sūraj barf sūrat na rakh

    kohr ke dīvār-o-dar par dhuup ġhāza lagā

    raat bhī ab rahī hai apnī manzil taraf

    kis dhun meñ jāgtā hai ghar darvāza lagā

    kāñch ke bartan meñ jaise surḳh kāġhaz gulāb

    vo mujhe itnā achchhā aur tar-o-tāza lagā

    pyaar karne bhī na paayā thā ki rusvā.ī milī

    jurm se pahle mujh ko sañg-e-ḳhamyāza lagā

    shahr saḌkoñ par andhī raat ke pichhle-pahar

    merā saaya mujhe rañgoñ shīrāza lagā

    jaane rahtā hai kahāñ 'iqbāl-sājid' aaj kal

    raat din dekhā hai us ke ghar darvāza lagā

    dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga

    koi patthar phenk kar pani ka andaza laga

    zehn mein sochon ka suraj barf ki surat na rakh

    kohr ke diwar-o-dar par dhup ka ghaza laga

    raat bhi ab ja rahi hai apni manzil ki taraf

    kis ki dhun mein jagta hai ghar ka darwaza laga

    kanch ke bartan mein jaise surKH kaghaz ka gulab

    wo mujhe itna hi achchha aur tar-o-taza laga

    pyar karne bhi na paya tha ki ruswai mili

    jurm se pahle hi mujh ko sang-e-KHamyaza laga

    shahr ki saDkon par andhi raat ke pichhle-pahar

    mera hi saya mujhe rangon ka shiraaza laga

    jaane rahta hai kahan 'iqbaal-sajid' aaj kal

    raat din dekha hai us ke ghar ka darwaza laga

    Source:

    kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 63)

    • Author: javaaz jaafrii
      • Edition: 1994
      • Publisher: jang publishar
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now