Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh ruKH pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya

Arshad Aurangabadi

tujh ruKH pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya

Arshad Aurangabadi

MORE BYArshad Aurangabadi

    tujh ruḳh pe mujhe nūr-e-ilāhī nazar aaya

    jo asl meñ hai so kamāhī nazar aaya

    jab chashm kiyā terī taraf ahl-e-nazar ne

    had-darja fuzūñ rutba-o-jāhī nazar aaya

    tujh zulf-e-pareshāñ pe nazar jis paḌī hai

    dil-jam.ī use na.iiñ vo tabāhī nazar aaya

    mujh ishq saugand hai jab ishq ko kholā

    kuchh aur na dekhā vo sipāhī nazar aaya

    'arshad' mirā dildār kahīñ mujh se judā na.iiñ

    har vaqt vo mujh dil meñ basā nazar aaya

    tujh ruKH pe mujhe nur-e-ilahi nazar aaya

    jo asl mein hai so hi kamahi nazar aaya

    jab chashm kiya teri taraf ahl-e-nazar ne

    had-darja fuzun rutba-o-jahi nazar aaya

    tujh zulf-e-pareshan pe nazar jis ki paDi hai

    dil-jami use nain wo tabahi nazar aaya

    mujh ishq ki saugand hai jab ishq ko khola

    kuchh aur na dekha wo sipahi nazar aaya

    'arshad' mera dildar kahin mujh se juda nain

    har waqt wo mujh dil mein basa hi nazar aaya

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now